Saturday, October 31, 2009

ye kya muqam hai wo nazare kahan gaye

ye kya muqam hai wo nazare kahan gaye
wo phul kya huye wo sitare kahan gaye

yaran-e-bazm-e-jurrat-e-rindana kya hui
un mast ankhariyon k ishare kahan gaye

ek aur daur ka wo taqaza kidhar gaya
umre huye wo hosh k dhare kahan gaye

uth uth k baith chuki gard rah ki
yaro qafile thake hare kahan gaye

betab tere dard se the charagar "Hafeez"
kya janiye wo dard k mare kahan gaye

Thursday, October 29, 2009

Aye The Hum Misr-e-Bulbul Sair-e-Gulshan Kar Chale,

Aye The Hum Misr-e-Bulbul Sair-e-Gulshan Kar Chale,
Ley Loo Maali Baagh Apna Hum To Apne Ghar Chale....

Auron Se B Wa'bastagiyan Hain Thoori Si Mgr

Auron Se B Wa'bastagiyan Hain Thoori Si Mgr
Tujh Se Jo Silsily Hain Wo Inteha K Hain

Koi ghazal suna ker kya kerna

Koi ghazal suna ker kya kerna,
Yoon baat barrha ker kya kerna..?

Tum mere thay tum mere ho,
Duniya ko bata ker kya kerna..?
...
Tum ehad nibhao chaahat say,
Koi rasm nibha ker kya kerna..?

Tum khafa bhi achay lagtay ho,
Phir tum ko mana ker kya kerna..?

Tere dar pe aa k bethay hain,
Ab ghar bhi ja ker kya kerna..?

Din yaad se acha guzray ga,
Phir tum ko bhula ker kya kerna

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai

Yadon Sey Rishta Kal Bhi Tha,Yadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai
Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha,Dil Afsurda Sa Aaj Bhi Hai

Tum Door Huvey Majboori Mein,Hum Toot Gaye Is Doori Mein
Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana,Ye Dil Ka Dar Wa Aaj Bhi Hai

Tum Khush Ruho Abaad Ruho, Dil Apna Tu Barbaad Huwa
Gham Dil Ka Sahara Kal Bhi Tha,Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai

Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein,Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain
In Ankhon Mein Jo Kal Tak Tha,Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai

Ab Shikwa Kisi Se Kya Karna,Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila
Gham Kal Bhi Mera Sarmaya Tha,Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai

Wednesday, October 28, 2009

i went 2 c d cardiologist 2day

i went 2 c d cardiologist 2day.
ECG showed anomalies in my heart's mode of operation.
The doc said my heart was missing something 4 proper functioning.
I was rushed 2 d theater & surgery was about 2 commence
when i told the doc that surgery cud not solve d problem.
cause my heart was missing u!

mere dil mere musafir

mere dil mere musafir
hua phir se hukm sadir
k vatan badar hon ham tum
dein gali gali sadayen
karen rukh nagar nagar ka
k surag koi payen
kisi yar-e-namabar ka
har ek ajnabi se puchen
jo pata tha apne ghar ka
sar-e-ku-e-nashanayan
hamain din se rat karna
kabhi is se bat karna
kabhi us se bat karna
tumhen kya kahun k kya hai
shab-e-gam buri bala hai
hamain ye bhi tha ganimat
jo koi shumar hota
hamain kya bura tha marna
agar ek bar hota

Meri tanhai barhate hain chale jate hain

Meri tanhai barhate hain chale jate hain,
Hanss talaab pe ate hain chale jate hain,

Is liye ab mein kisi ko nahin jane deta,
Jo mujhe chorr ke jate hain chale jate hain,

Meri ankhon se bahaa karti hai un ki khushu,
Raftgaa’n khawb mein ate hain chale jate hain,

Shadi-e-marg ka mahol banaa rehta hai,
Aap aate hain rulate hain chale jate hain,

Kab tumhe ishq pe majboor kiya hai hum ne,
Hum to bass yaad dilate hain chale jate hain,

Ap ko kaun tamashaayi samajhta hai yahan,
Aap to aag lagate hain chale jate hain,

Hath pathar ko barhaaon to sagan-e-dunya,
Hairti ban ke dikhate hain chale jate hain..

Baandh Lein Haath Se Seene Pe Saja Lein TuMko,

Baandh Lein Haath Se Seene Pe Saja Lein TuMko,
Jee Mein Aata Hai Ke Taveez Bana Lein TuMko,

Phir TuMhe Roz Sawarein TuMhe Badhta Dekhein,
Kyon Na Aangan Mein ChaMeli Sa Laga Lein TuMko,

Kya Ajab Khwahishein Uthti Hai HaMare DIL Mein,
Kar Ke Munna Sa Hawa Mein Uchhalein TuMko,

Kabhi Khwabon Ki Tarah Aankh Ke Parde Mein Raho,
Kabhi Khwaahish Ki Tarah Dil Mein Bula Lein TuMko,

Is Qadar Toot Ke TuMpe HaMein Pyaar Aata Hai,
Apni Baahon Mein Bharein Maar Hi Daalein TuMko...

sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the

sach hain hamin ko ap k shikwe baja na the
beshak sitam janab k sab dostana the

han jo jafa bhi ap ne ki qayede se ki
han ham hi karband-e-usul-e-wafa na the

aye to yun to k jaise hamesha k meharban
bhule to yun k goya kabhi ashna na the

kyon dad-e-gam ham ne talab ki, bura kiya
ham se jahan main kushta-e-gam aur kya na the

gar fikr-e-zakhm ki to khatawar hain k ham
kyon mahw-e-madh-e-khubi-e-teg-e-ada na the

har charagar ko charagari se gurez tha
warna hamain jo dukh the bahut ladawa na the

lab par hai talkhi-e-may-e-ayyam warna "Faiz"
ham talkhi-e-kalam par mail zara na the

Ab to Kuch saanson kI Ravaani Baaqi Chal rahi hai

Ab to Kuch saanson kI Ravaani Baaqi Chal rahi hai
Warna duniya se to hum jaa chukay hain tere bad

Tuesday, October 27, 2009

Nayi tarha say nibhane ki dil ne thaani hy

Nayi tarha say nibhane ki dil ne thaani hy
Wagarna us se mohabbat bohat puraani hy

“KHUDA” wo din na dikhaaye keh main kisi se sunoon
Ke tu ne bhi gham-e-duniya se haar maani hy

Zameen pe reh k sitaare shikaar kerte hyn
Mizaaj ehl-e-mohabbat ka aasmaani hy

Humain aziz ho kyon.ker na sham-e-gham k yehi
Bicharne waale , teri aakhri nishaani hy

Utarr pare ho to darya se poochna kaisa
Ke saahiloon se udhar kitna taiz paani hy

Bohot dinon main teri yaad orh ker utri
Ye sham kitni sunehri hy kia suhaani hy

Main kitni dair tak usay sochta rahoon
Ke jaise us ka badan bhi koi kahani hy…

Is Bheegi Shaam K Saye Main

Is Bheegi Shaam K Saye Main
Chup'ky Se Agr Tum Aa Jao

Ye Shaam Suhani Ho Jaye
Rangeen Kahani Ho Jaye

Wo Bat Jo Hum Keh Na Sky
Ankho Ki Zubani Ho Jaye

Koi Pyari Baat Tum Chero
Koi Pyar Ki Baat Sunain Hum

Haan Pyar Krain Yon Hum Dono
Ye Raat Suhani Ho Jaye

Is Bheegi Shaam Suhani Me
Chup'ky Se Agr Tum Aa Jao

chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista

chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista
duaaeiN ho rahii haiN mustejaab aahista-aahista

haya kushta hooN maiN uThe naqaab aahista-aahista
sukooN se ham_baghal ho izteraab aahista-aahista

sharaab-e-naab de lekin zara ruk-ruk ke jhuk-jhuk ke
nigaah-e-mast kar mast-o-Kharaab aahista-aahista

khud apne husn ka parda hai noor-e-sarmadi teraa
bane jis tarah mehar apnii naqaab aahista-aahista

tasallii ki ye baateiN haiN, ke taRhpane ki baateiN haiN
khaamoshi, phir tabassum, phir Khitaab aahista-aahista

be_hamdillah shoKhii se hua sheer-o-shakar aaKhir
ghula mauj-e-tabassum meN hijaab aahista-aahista

mujhe kyaa niiNd aaegii ke ham-dam maiN ne dekhii haiN
woh aaNkheiN baNd hote, waqt-e-Khwaab aahista-aahista

shabaab-e-husn kii garmii meN hai raNg-e-hayaa shaamil
gul-e-aariz se khiNchtaa hai gulaab aahista-aahista

mohabbat raah kartii hai yooNhii mahboob ke dil meN
ke jaise nashaa kartii hai sharaab aahista-aahista

khulii jo aaNkh, ufaq par ek sitara jhilmilaata thaa
maiN samjha tha ke jaaega shabaab aahista-aahista

''Asar'' is tarah meN misra ''Walii'' ka to suna hogaa
"khitaab aahista-aahista jawaab aahista-aahista"

Usko Gila raha k Tawajjo na di usy

Usko Gila raha k Tawajjo na di usy
Lekin hamain khud apni rafaqt nahi milli

Hr shakhs zindgi mai boht der se milla
Koi b cheez hasb e zarurt nahi milli

sakhtiyan karta hoon dil par gair se gafil hoon main

sakhtiyan karta hoon dil par gair se gafil hoon main
hai kya achi kahi zalim hoon main jahil hoon main

Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye

Yun Dosti K Naam Ko Rusvaa Na Kijiye
Tark-e-Ta?alluqaat Ka Charcha Na Kijiye

Jurm-O-Sitam Ka Paas Bhi Ulfat Mein Shart Hai
Palkon Ko Aansuon Se Bhigoya Na Kijiye

Aisaa Na Ho Ummeed Se Rishta Hi Toot Jaaye
Har Roz Mujhse Vaada-e-Fardaa Na Kijiye

Hamdard Jis Ko Apna Samajhte Rahe Hain Aap
Us Ka Hi Zindagi Mein Bharosa Na Kijiye

May the blessings of Allah fill your life with

May the blessings of Allah fill your life with happiness
and open all the doors of success now and always.
********Eid Mubarak**********

Mujhe Aaj Bhi Yaad Hai Wo Sardiyon Ki Shaam

Mujhe Aaj Bhi Yaad Hai Wo Sardiyon Ki Shaam, Jab Usne
Mera Haath Pakra Aur Meri aankhon Mein Dekh Kar Kaha,
”Aap Ke Haath Bohat Garam Hain, Aur Ye Wafa nibhane
Walon ki Nishani Hai..”
Mein Bohat Khush ha, Itna Khush Ke Ye bhi Bhool Gaya Keh
Us Shaam us ke Haath Kitne Sard They

Monday, October 26, 2009

Shraab dard ki dawa hai

Shraab dard ki dawa hai
Peene se koi khraabi nahi
Dil ke dard se peete hain
Waise hum Shraabi nahi

Yun teri chahtain sambhaali hain,

Yun teri chahtain sambhaali hain,
Jese eidi ho mere bachpan ki..

ach moment of ur life is a picture

Each moment of ur life is a picture which u had never seen before.
And which ull never see again so enjoy> & live life & make each moment beautiful....

Sunday, October 25, 2009

Tere naam ki thi jo roshni Usay khud hi tu ne bujha dya

Tere naam ki thi jo roshni Usay khud hi tu ne bujha dya
Na jala saki jise dhoop bhi Usay chahton ne jala dya

Main houn gardishon mein ghira howa Mujhe aap apni khabar kahan
Wo jo shakhas tha mera rahnuma Usay raston mein gawan dya

Teri nazar mein jo ajeeb tha Wohi shakhas tera habib tha
Tere hath ki wo lakeer tha Usay hath se hi mita dya

Mujhe ishq ka janun hai Abhi faisala nahi ho saka
Mera naam zeest-e-dasht tha Mujhe aandhion ne mitta dya

Tez kadmo se doudhta rehta hain, chalta hai paani

Tez kadmo se doudhta rehta hain, chalta hai paani
Koun manega meri aankhon mein jalta hai paani

Yeh kiske jikr se aaya hain sehraa main sailaab
Aaj meri aankhon mein teherta hi nahi hai paani

Yun toh mitha hi hua karta hai, namkeen nahi
Milta hain gham se toh khud ko badalta hai paani

Yeh wo shay hain aag ko bhi jala deta hain kabhi
Aur kabhi bebaas barsaat mein bhi galta hai paani

Koun sa dard hain, ki zara zara si baaton mein
Aankhon se subah shaam nikalta hai paani

Kuch toh hoga dhoka sa meri aankhon mein
Log kehtey hain ki bewajah hi nikalta hai paani

I Wish U A Happy Nd Succesful Day. Happy

“New Days,
“New” Aims,
“New” Hopes,
“New” Plans,
“New” Success,
“New” Feelings..
I Wish U A Happy Nd Succesful Day.
Happy
!!..EidUlFitr Mubark

Is qaamat-e-mahdood se baahar bhi kahin hoon

Is qaamat-e-mahdood se baahar bhi kahin hoon
MaiN lamha-e-mojood se baahar bhi kahiN hooN

SajdoN ka hay ik sail-e-rawaan meri jubeeN se
Or saajid-o -masjood se baahar bhi kahiN hooN

Maujood hooN maiN mandir-o-masjid maiN basad shauq
Or aabid-o-maebood se baahar bhi kahiN hooN

Sirf aah bujhaana hi mera fan tau nahiN hay
Main qisaa-e-namrood se baahar bhi kahiN hooN

Ye zeest tau ik kaawish-e-be sood hay
Is kaawish-e-be sood sebaahar bhi kahiN hooN

Uski Nighah_e_Naaz Mein Hum Bhi Hain Mautbar!

Uski Nighah_e_Naaz Mein Hum Bhi Hain Mautbar!
Aey “DIL” Ye Sab Kaheen Teri Khush Fahmiyaan Na Hon…

Saturday, October 24, 2009

Go kathan hai teyy karna umar ka safar tanha,

Go kathan hai teyy karna umar ka safar tanha,
Laut kar na dekhoon ga, chal parra agar tanha,

Sach hai umar bhar kon kiska sath deta hai,
Gham bhi ho geya rukhsat dil ko chorr kar tanha,

Hai to wajah-e-ruswaayi meri hamraahi lekin,
Raaston mein khatraa hai jao gi kidhar tanha,

Aye Shaoor is ghar mein iss bharey ghar mein,
Tujh sa zindaa dil aur is qadar tanhaa..

Uss Zakh_m K Bhar_ney Mein Bahot Dair Lagt_i Hai

Uss Zakh_m K Bhar_ney Mein Bahot Dair Lagt_i Hai
Jis_s Zakh_m Mei_n Hoon Apn_on Ki_e Enayyat

Tujh Ko Dekha Bhi Nahi

Tujh Ko Dekha Bhi Nahi
Aur Teri Deed Karli.
Chand Tu Nazar Nahi Aya
Phir Bhi Humne Eid Karli.

Khailtey Khailtey Donon Mein Se

Khailtey Khailtey Donon Mein Se
Ekk Ne Doojay Ki Guriya Ki Noch Lee Aankhein
Larki Cheekhi,
Daikho, Tum Ne Meri Guriya Andhi Karr Di
Ab Sapney Kaise Daikhey Gee?


Larka Nadamm Ho Krr Bola.....
Mein Jab Abu Jitna Ho Kar Shaher Giya To
Ye Wa'da Karta Hoon Tum Se
Sab Se Pehley
Iss Ki Aankhein Laon Gaa
Sunna Hai Shaher Giya Wo Ekk Din

Janey Iss K Baad Kiya Hua
Ye Maloom Nahin Lekin
Aaj Achanak Uss Larki Ko Rah Mein Daikha
Haath Mein Uskey Ekk Guriya Thee
Haan Batlana Bhool Gai Mein..!!!!
Guriya Aaj Bhi Andhi Hai

Friday, October 23, 2009

A day is going to end again.

A day is going to end again.
It is nice to have a friend like U
making my everyday seems so great.
Thank U my good friend lastly
gd nite n sweet dreams...

Libas Tan Se Utaar Dena

Libas Tan Se Utaar Dena,
Kisi Ko Banhon Ke Haar Dena,
Phir Uske Jazbon Ko Maar Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!

Gunah Karne Ka Soch Lena,
Haseen Pariyan Daboch Lena,
Phir Uski Aankhein Hi Noch Lena,
!! Ager Mohabat Yehi Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!

Kisi Ko Lafzon Ke Jaal Dena,
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena,
Phir Uski Izzat Uchaal Dena,
!! Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai!!

Andhair Nagri Mein Chalty Jana,
Haseen Kaliyan Masalty Jana,
Aur Apni Fitrat Pe Muskurana,
Ager Mohabat Yehi Hai Jana To Maaf Karna Mujhe Nehi Hai

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Loog Usse Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Uss Ke Sheher Mein Kuch Din Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Boley Tou Baaton Se Phool Jhartey Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Ko Usse Titliyaan Sataati Hai
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Theher Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uss Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Ke Phool Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Rukey To Gardishein Uss Ka Tawaaf Karti Hain
Chaley To Uss Ko Zamaaney Theher Ke Dekhte Hain

Kisse Naseeb Ke Be-Pairahan Usse Dekhey
Kabhi Kabhi Dar-O-Deewaar Ghar Ke Dekhte Hain

Kahaaniyaan Hi Sahi, Sab Mubaalghey Hi Sahi
Agar Woh Khawaab Hai, Taabeer Kar Ke Dekhte Hain

Judaaiyaan To Muqadder Hai Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Too Saamney Hai To Phir Kiyon Yaqeen Nahin Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Loug Hain Maujood Teri Mehfil Mein
Jo Laalachon Se Tujhey, Mujh Ko Jal Ke Dekhte Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
So Ab Ke Donon Hi Chaalein Badal Ke Dekhte Hain

Buhut Dinon Se Nahin Hai Kuch Uss Ki Khair Khabar
Chalo Faraaz~ Ko, Aey Yaar Chal Ke Dekhte Hain

Kitnee ajeeb baat hay

Kitnee ajeeb baat hay
Kay ab woh mairey saath hay
Kitnee ajeeb baat thee
Woh tab bhee mairey sath thee
Par tab, dooriaan bhee thee
Chahat ko aik honay main
Bohat see majbooriaan bhee thee
Hum tab bhee baat kartey they
Hum ab bhee baat karety hain
Tab cards khatam ho jatey they
Magar baat khatam naa hotee thee
Ab samney hain main aur woh magar
Kyun sochana partaa hay, Agar
Koi baat us say kahnee ho

Thursday, October 22, 2009

Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai

Tark-e-ta’alluq kar tou chukay hain, aik imkaan abhi baaqi hai
Aik mahaaz se loot aye hain, aik maidan abhi baaqi hai

Shayad us ne hansi hansi mein, tark-e-wafa ka zikr kiya
Yunhi si ik khush-fehmi hai, itmenaan abhi baaqi hai

Raat’ain us k hijr mein ab bhi, naza’a kay aalam mein kat’ti hain
Dil mein waisi hi wehshat hai, tann mein jaan abhi baaqi hai

Bachpan k is ghar k saray kamray, maliya-mait huay hain
Jis mein hum khaila karty thy, wo daalan abhi baaqi hai

Diye mundair pe rakh aaty hain, hum har sham najanay kyun
Shayad us k laut aany ka, kuch imkaan abhi baaqi hai

Aik adalat aur hai jis mein, hum tum ik din hazir hongy
Faisla sun kar khush mat hona, aik mezaan abhi baaqi hai

A million words would not bring you back

A million words would not bring you back, I know, because I've tried. Neither would a million tears. I know, because I've cried

Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay

Mujhay yaad koi dua nahi, Meray humsafar abhi soach lay
Tu meri jabeen pay likha nahi, meray hum safar abhi soach lay

Abhi rasta bhi hai dhool main, abhi faida bhi hai bhool main
Abhi mujh ko tujh say gila nahi, meray hum safar abhi soach lay

Wohi Ranjishain

Wohi Ranjishain... Wohi Hasratain... Na Hi Dard-E-Dil Me Kami Hoi
Hai Ajeeb Si Meri Zindagi... Na Guzar Ski Na Khatam Hoi

Neend Shayar Sms in Urdu

Neend Shayar Sms in Urdu

Neend Aankhon Main Nahin, Khwaab Kho Gaye
Tanha Hi The, Kuch Aur Tere Bin Hum Ho Gaye
Dil Kuch Tadap Utha, Zuban Bhi Ladkhadai
Teri Yaad Main Do Aansu Chupke Se Beh Gaye a

humse dur hokar hamare paas ho tum,
hamari suni zindagi ki aas ho tum
kaun kehta hai humse bichad gaye ho tum
hamari yaadon mein hamare saath ho tum

Wo chand hai magar aap se pyara to nahi.
Parvane ka shama ke bin guzara to nahi.
Mere dil ne suni hai ek mithi se awaz,
Kya apne mujhe pukara toh nahi.

Wednesday, October 21, 2009

Nadeeda safer ki had

Nadeeda safer ki had

abhi umeed ka daman hamare haath se chhota nahi hai
abhi deevaar se batein keeye jaane ki aadat k badalne ka
koi imkaan nahi hey
abhi hum aasman per khud se wabasta sitara dhhondhte hein
abhi hum roushani ka istaa.ra dhondhte hein
abhi tareekiyon main apni aankhon per bharosa
zindaghi k raaston ka humsafer hey
abhi is zehan-o-dil ko apni manzil ki talab se hat ker
kuch bhi sochna,sunna,samajh laina gavara nahi hey
abhi hum khawab jaise kaifiyat aorey hue hein
abhi khush fehmiyoon ka tajurba jhoota nahi laghta
abhi to zindaghi mein raaeigaani ki sabhi baatein mehaz afsana laghti hein
abhi umeed ka daaman hum apne haath mein mehsoos kerte hein
mager umeed khud ik khawab hey
ar khawab ki aakhri serhad bhi hoti hey
kisi khush feham nadeeda safer ki had bhi hoti hey
isi serhad per
gharon ko loutney ka faisala baaki nahi rehta
yahein per haath malti raaeigani ki kasak hamraa hoti hey
kasak aasaib ki soorat
nazer se roushani aor dil se dherkan chhen laiti hey!!!!

takra hi gai meri nazar un ki nazar se

takra hi gai meri nazar un ki nazar se
dhona hi para hath mujhe qalb-o-jigar se

izhar-e-mohabbat na kiya bas isi dar se
aisa na ho gir ja un kahin un ki nazar se

ai zauq-e-talab josh-e-junun ye to bata de
jana hai kahan aur ham aye hain kidhar se

'Fayyaz' ab aya hai junun josh pe apna
hansta hai zamana main guzarta hun jidhar se

Mohabat ke qisay wafa ki kahani,

Mohabat ke qisay wafa ki kahani,
Guzari hai mar mar ke ye zindgani,

Teri qurbaton say teri chahton se
Dil_e_muztarib ko milay shaadmani,

Parinday jo oncha urain maar daina,
Chali aa rahi hain ye rasmain purani,

Jo chotay se bachay ki aeyrri* se phoota,
Wo kitna muqadas hai zam zam ka paani,

Rawa zulm mazloom per tum na rakhna,
Naheen hai kisi ki ye dunya hai fani,

Wo khud bhokay reh ker khilatay hain sub ko,
Yahi mominon ki hai pakki nishani,

Zamana sitam jis qader chahay ker lay,
Na chotay gi mujh say haqiqat bayani,

Sanwer jaye bachon ki qismat yaqeenan,
Sunayen jo aslaaf ki hum kahani,

Ho salman ager apna emaan pukhta
To phir dekhiye apni shola bayani ..

mujhe apne zabt pe naaz tha sar-e-bazam raat ye kia hua,

mujhe apne zabt pe naaz tha sar-e-bazam raat ye kia hua,
meri ankh kaise chalak pari,mujhe ranj hai ye bura hua,

mujhe aap kiu na samjh sake ye apne dil se pochiye?
meri dastan-e- hayat ka.hai warq warq khula hua,

mujhe humsafar bhi mila koi,to meri tarhan hi luta hua,
kabhi manzilon se hata hua.kabhi qafilon se luta hua,

mujhe ik gali main para hua kisi badnaseeb ka khat mila,
kahin khoon-e-dil se likha hua.kahin ansuon se mita hua..

Ajj sharmata hy soraj os sy

Ajj sharmata hy soraj os sy
wo jo taro sy hiya karta tha

Muje ye ijtamai khod koshi ka moor lagta hai,

Muje ye ijtamai khod koshi ka moor lagta hai,
K log abb ghar nahin rakhate magar hathiyar rakhate hain.

Tuesday, October 20, 2009

Othte howe qadmon ke nishan ki khater.

Othte howe qadmon ke nishan ki khater.
Wo khud ko badal gaya ik insan ki khater.

kia name tha humara or kia he ban gaya????
q kashmkash he itni onwan ki khater????

Othte howe qadmon ke nishan ki khater.
Wo khud ko badal gaya ik insan ki khater.

jalate hen ghar kisi ka bare maze se hum.
q tarapte hen phir apne mukan ki khater????

Othte howe qadmon ke nishan ki khater.
Wo khud ko badal gaya ik insan ki khater.

insan ki kami pe nahi he ankh nam.
lar raha he phir koi hewan ki khater.

Othte howe qadmon ke nishan ki khater.
Wo khud ko badal gaya ik insan ki khater.

mukh mor lete hen apne ab apnon se hi AQIB.
mar raha he q koi anjan ki khater????

Othte howe qadmon ke nishan ki khater.
Wo khud ko badal gaya ik insan ki khater.

Monday, October 19, 2009

Hamein Wo Chahey Yeh Chahtey Rehey Hum Umar Bhar

Hamein Wo Chahey Yeh Chahtey Rehey Hum Umar Bhar,
Hamein To Guman Bhi Na Hua Aur Hum Nakaam Ho Gaye

Together with friends

Together with friends….
Full of warmth and fun….
Here’s wishing
your Eid celebration
Is truly a special one!

Eid Mubarak !

Khalaq ki be khabri hai k meri ruswai,

Khalaq ki be khabri hai k meri ruswai,
Log muj ko hi sunate hain fasane mere.

I Pray to God to give U

I Pray to God to give U
Shanti,
Shakti,
Sampati,
Swarup,
Saiyam,
Saadgi,
Safalta,
Samridhi,
Sanskar,
Swaasth,
Sanmaan,
Saraswati,
aur SNEH.
SHUBH DIWALI

Sunday, October 18, 2009

Jo Qismat Mein Na Ho Us Ka Gila Nahi Karte

Jo Qismat Mein Na Ho Us Ka Gila Nahi Karte
Kuch Log To Mil Kar Bhi Mila Nahi Karte

Suna Hai Rooz Rooz Milne Se Mohabbat Kam Hoti Hai
Ye Soch Kar Hum Us Se Mila Nahi Karte

Aye Dil Tu Un Se Milne Ki Umeed Kion Karta Hai
Kuch Log To Umer Bhar Mila Nahi Karta

Wese To Aata Hai Har Shajar Pe Bahar Ka Mausam
Phi Rbhi Har Shaakh Pe Phool Khila Nahi Karte

Jab Wo Mila Tha To Us Se Rooh Ka Naata Jora Tha
Jab Rooh Sath Chor Jaye To Insaan Mila Nahi Karte

Maine kaha Maut ko thorde din tal jaa

Maine kaha Maut ko thorde din tal jaa,,

Maut ne kaha teri kisi ko jaroorat nahi tu chala aa,

Maine kaha koi hai jo humare liye jeeta hai,,,,

Maut ne kaha isliye tu roj paani ki jagah aansu peeta hai

Nadan Shayari – Hindi Nadan Shayari

Nadan Shayari – Hindi Nadan Shayari

Nadan Hai Kitna Woh Kuch Smajta Hi Nhi…….
Seene Se Laga K Poochta Hai K Dharkane Taizz Kyun Hain

Saturday, October 17, 2009

Meri wafa ne khilaye the jo gulaab Sare jholas gae hain

Meri wafa ne khilaye the jo gulaab Sare jholas gae hain
Tumhari ankhon mai jis qadar the wo khawab sare jhulas gae hain

Meri zameen ko Kisi nae haadse ka hai inatizar shayed
Gunah phalane lage hain ajar-o-sawab sare jhulas gae hain

Jo tum gae to meri nazar pe haqeqaton k aazab otare
Yeh sochata hun k Kia karon ga sarab sare jhulas gae hain

Ye mojaza sirf ikk shab ki musafaton ke sabab hua hai
Tumhare aur mere darmiyan ke hijab sare jhulas gae hain

Use batana K us ki yadon k sare safahe jala chuka hun
Kitaab-e-dil mai raqam the jitne wo baab sarejJhulas gae hain

Nazar othaon mai jis taraf bhi muheb saye hain zulmaton K
Yeh kia K mere naseeb k mahtaab sare jhulas gae hain

Tumhari nazron ki ye tapish hai k mere lafzon pe aabley hain
Sawal sare jhulas gaehHain jawab sare jhulas gae hain

Ye agg khamoshiyon ki kaisi tumhari ankhon mai tairti Hai
Tumhare honton pe daraj the jo nisaab sare jhulas gae hain

Na hum wali na paigambar, yeh log jane kyun

Na hum wali na paigambar, yeh log jane kyun
Qadam qadam pe humain azmaaney lagte hai

Kal hamesha ki tarha us ne kaha ye fone par

Kal hamesha ki tarha us ne kaha ye fone par
Me bahut masrof hon mujh ko bahut se kaam hain
Iss liye tum ao milney me to aa sakti nahin
Har riwayat torh kar is baar me ne keh diya
Tum jo ho masrof to me bhi bahut masrof hon
Tum jo ho mashhoor to me bhi bahut maroof Hon
Tum agar ghamgen ho me bhi bahut ranjor Hon
Tum thakan se chor to me bhi thakan se choor Hon
Jan-e-man hai waqt mera bhi bahut hi qemti
Kuch purane doston ne milne ana hai abhi
Mein bhi ab farigh nahin mujh ko bhi lakhon kaam hain
Warna kehne ko to sab lamhe tumhare naam hain
Meri ankhein bhi bahut bojhal hain sona hai mujhe
Ratjagon ke bad aab nendon me Khona hai mujhe
Mein lahoo apni anaoon ka bhaha sakta nahin
Tum nahin ati to milney me bhi aa sakta nahin
Us ko ye keh kar Wasi me Ne reciever rakh diya
Aur phir apni aana ke paon pey sar rakh diya

Chhup ke aata hai koi khawab churaney mere,

Chhup ke aata hai koi khawab churaney mere,
Phool har raat mehekte hain sarhaaney mere..

Urdu Ghazal Sms

Urdu Ghazal Sms

Bojhal Dil, Bojhal Qadam
Sochtay Hain K Jain Kahan

Jub Sub Derwazay Hon Band
Apni Manzil Pa’ain Kahan

Sang’raizon K Dais Main
Kanch Ka Dil Chupain Kahan

Friday, October 16, 2009

Take evrything positively

A baby mosquito came back after its 1st fight.
.
.
.
Dad asked: "how did u feel?"
.
.
.
It replied: "Dad it was wonderful. evry1 ws clappin 4 me"

Moral: Take evrything positively

Log dete rahe kya kya na dilaasey mujh ko,

Log dete rahe kya kya na dilaasey mujh ko,
Zakham gehra hi sahi, zakhm hai bhar jaye ga..

Thursday, October 15, 2009

Wo Sari Baatein Khuwab Huien

Wo Sari Baatein Khuwab Huien,
Aur Khuwaab Se Phir Azaab Huien,
Jab Tum Ko Saba k Jhonkay Se ,
Paigham Hamara Milta Tha ,
Jab Meri Ik Nazar Se Hi ,
Chehra Yeh Tumhara Khilta Tha,
Kuch Yaad Sa Tum Ko Hay Jaana?
Jab Phone Ki Aadat Roz Ki Thi,
Kuch Dair Jo Mujh Ko Ho Jati ,
Tum Ghantoon Rootha Karti Thi,
Kabhi Geeton Ki Kabhi Shairon Ki,
Tum Khuwahish Mujh Se Karti Thi,
Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se ,
Mery Chehrey Se Meri Aankhon Se,
Aur Jhank k Meri Aankhon Mein ,
Tum Khud Ko Dhonda Karti Thi ,
Ik Do Din Dekh Na Pao To ,
Tum BeKal BeKal Rehti Thi ,
Aur Ab To Aisa Aalam Hay ,
Koi Chahat Hay Na Ulfat Hay ,
Kya Pyar Muhabat Aur Wafa ,
Iss Zikar Se Tum Ko Vehshat Hay ,
Main Lakh Tasalli Khud Ko Doon ,
k Ab b Teri Khuwahish Hon ,
Anjaan Bazahir Lagtay Ho ,
Main Ab b Tera Mehwar Hon ,
Par Dhoka Aakhir Dhoka Hay ,
Kab Tak Dil Ko Behlaye Ga ,
Do Pal Ki Khushian De Kar Yeh ,
Mujhay Sadiyan Laho Rulaye Ga ,
Kiun Tum Taqdeer Se Lartay Ho?
Kiun Khud Ko Dhoka Detay Ho?
Khuwabon k Tukray Chun k Ab,

Wo Log Bataain Gy Qayamat Kya Hy

Wo Log Bataain Gy Qayamat Kya Hy
Jin Logo Ne Dekhi Hai BewaFai uski

Arz Kia Hai? Zara Ghor Farmaiiye

Arz Kia Hai?
Zara Ghor Farmaiiye

Arz Kia Hai
Eid Eid Karte Kiun Karte Ho
Eid Bhi Aajayegi

Kia?
Eid Eid Karte Kiun Ho
Eid Bhi Aajayegi

Ramzan Ke Pure Rozay Rakho
Aqal Thikane Aajayegi

Wednesday, October 14, 2009

Ae waqt guzar jaa k ye lamha ajeeb hai

Ae waqt guzar jaa k ye lamha ajeeb hai
pakar k hath wo bicharny ki baat krta hai

Dil hai yun muztarib makanon mein

Dil hai yun muztarib makanon mein
Machliyan jaisy martabanon mein

Dhoop se dhoondtay hain raah-e-faraar
Log sheeshay k saibanon mein

Teri aamad pe jaisy laut aya
Wakt guzray huay zamano’n mein

Dil dharakta hai har sitaray ka
Aaj ki raat aasmanon mein

Zang aalood ho gaye jazbay
Jam gaye harf, sard-khanon mein

Reshami log dhoondtay hain hum
Sheher k aahni makanon mein

Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya – Yaad Shayari

Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya – Yaad Shayari

Hum Ne Kisi Ki Yaad Main Rona Hi Chor Diya
Apni Zindagi Ko Talaash Karna Hi Chor Diya

Sab Beeti Hui Baatein Bhula Di Hum Ne
Ab Dil Main Maazi Basana Chor Diya

Kaanton Se Bhar Dete Hain Log Daaman
Hum Ne Aangan Main Phool Khilana Hi Chor Diya

Kabhi Na Maangen Ga Kisi Se Bheek Mohabbat Ki
Is Hi Liye Hum Ne Pyaar Karna Hi Chor Diya

Mere Zakhmo Ko Taqleef Huwi Jab Bhi

Mere Zakhmo Ko Taqleef Huwi Jab Bhi Nikla Mein Taazi Hawa Mein,
Mein Hun Bekasur Iss Baat Ka Tha Ek Lauta Gawa Mein,,

Uss Bewafa Pe Tha Mujhe Itna Yakeen ,,
Woh Deti Rahi Zeher Aur Usko Dawa Samjkar Peeta Raha Mein,

Koi Aur Hota Toh Naa Jane Kab Ka Tut Jaata,
Magar Uske Har Sitam Ko Sehta Raha Mein,

Usne Toh Tohfe Mein Sirf Gham Ki Nadiya Hi Di Mujhe,
Magar Uski Khushi Ka Samandar Banke Behta Raha Mein,

Usne Mujhe Yaad Kiya Apni Har Baddua Mein,,
Par Maine Usse Yaad Kiya Apni Har Dua Mein,,

Mere Zakhmo Ko Taqleef Huwi Jab Bhi Nikla Mein Taazi Hawa Mein,,
Mein Hun Bekasur Iss Baat Ka Tha Ek Lauta Gawa Mein.

Guraiz shab se, seher se kalam rakhtay thay

Guraiz shab se, seher se kalam rakhtay thay
kabhi woh din thay ke zulfon mein sham rakhtay thay

tumharay haath lagay hein tou jo karo so karo
werna tum se tou ham so ghulam rakhtay thay

hamein bhi ghair liya ghar ke zo’am ne, tou khula
kuch aur log bhi is mein qayam rakhtay thay

yeh aur baat ke hamein dosti na raas aayee
hawa thi saath to khushboo muqam rakhtay thay

na janay konsi rut mein bichar gaye woh log
jo apney dil mein bohot ehtaram rakhtay thay

woh aa tou jata kabhi ham us ke raston pe
diye jalaye hue subh-o-shaam rakhtay thay

Darling main tum se shaadi nahi karsakta

Sardar to Girlfriend= Darling main tum se shaadi nahi karsakta
gharwale mana karrahe hai.
Girlfriend= Tumhare ghar me kaun kaun hai.
Sardar= 1 biwi aur 3 bacche...

Tuesday, October 13, 2009

When u were born devil said

When I was born
Devil said...Oh Shit!!!
Another GOOD PERSON!!!..
&
When u were born devil said ...
Oh Shit!!!!Competition

ahar saray chaman ki aaeen hoti hai,

ahar saray chaman ki aaeen hoti hai,
Bahaar chand guloon ki hansi ka naam nahi..

Choorny ka fesla to rooz krta hy wo shakhs

Choorny ka fesla to rooz krta hy wo shakhs
uska bus chalta nahi meri wafa k saamny

Nothing in this world Could ever be

Nothing in this world Could ever be
As wonderful as the love You've given me
Your love makes my days so very bright,
just knowing you're my darling wife(Husband)

Merey ZawaL se PehLay wo Mujhe Chhor gaya

Merey ZawaL se PehLay wo Mujhe Chhor gaya
Haseen to thha Hi ‘ Zaheen Kitna thha

Love is like a golden chain

Love is like a golden chain that links our hearts together and if you ever break that chain youll break my heart 4ever!

Happy Mothers Day in English

Happy Mothers Day in English

Happiness can also be a haunting,
A text one can recite but cannot read.
Peace need not erase the need for need,
Pressed to a perfection one finds daunting.
Yet often one can win with little warning,
Mothering the plant without the seed,
Of help in breeding though of different breed,
Taking pleasure in another’s dawning.
How one feels depends on how one chooses,
Embracing always less that what one wills,
Redeeming even tragedy with passion
‘Mid the sinking tapestries of night.
So may you find the courage that refuses
Dominion to the clarity that kills,
Awakening the mother that might fashion
Yearning strong enough to see the light.

Tawaqo Thi K Is Gham Ka Azala Ho Hi Jaye ga

Tawaqo Thi K Is Gham Ka Azala Ho Hi Jaye ga
Mgr Afsoos K Pehli Muhabbat Akhri Nikli

Mere Dil Ki Wafaon Ka Hosla To Dekho

Mere Dil Ki Wafaon Ka Hosla To Dekho,
Talabgar Us Ka Hai Jis Ko Mera Ehsaas Tak Nahi

Monday, October 12, 2009

Aalam main jis ki dhoom thi uss shahkaar per,

Aalam main jis ki dhoom thi uss shahkaar per,
Deemak ne jo likhe woh tabsrey bhi dekh..

yeh silsaly azaab kay, yeh fasilay, yeh qurbaten

yeh silsaly azaab kay, yeh fasilay, yeh qurbaten
Ajeeb see yeh rahten, yeh chahten, mohabten
Ik lagan ki aag see, yeh tarap kasak hay kaya
Moal lain azaab aur muft baanten nafraten
Kisi kay haath main qalam, kisi kay haath main alam
Kisi ka haath taighzan, kisi ka tann hay aag main
Kisi kay sar pay taaj hay, kisi ka sar hay daar pay
Ajeeb sa hay khauf sa, yeh wehshten, yeh dehshten
Bhagtay hain mard-o-zann, yeh bachay boorhay kis taraf
Na koi inka rehnuma, na rastay, na manzalen
Aye waqt tuo zara thehar, zara tau thamm ke saans lain
Yeh khasta haal aadmi, yeh neem jaan aurten

Aankhon Mein Ras Hai Bhara – Afshan Rana

Aankhon Mein Ras Hai Bhara – Afshan Rana

gajara bana ki le aa malaniya
wo aaye hain ghar mein hamare
der na ab tu laga
sara chaman ho jinaka divana
aisi kaliyan chun ki la
lali ho jin mein un ki labon ki
un ko piro ki le aa
jo bhi dekhe un ki surat
jhuki jhuki ankhiyon se pyar kare
chanda jaisa rup hai un ka
aankhon mein ras hai bhara

Baso Meri Aankhon Mein – Eyes Shayari

Baso Meri Aankhon Mein – Eyes Shayari

Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mein
Phir Khwab Agar Ho Jaao To Kya

Koi Rang To Do Mere Chehre Ko
Phir Zakhm Agar Mehkaao To Kya

Jab Hum Hi Na Mehke Phir Sahib
Tum Bad-E-Sbaa Kehlaao To Kya

Ek Aaina Tha So Toot Gyaa
Ab Khud Se Agar Sharmaao To Kya

Mein Tanhaa Tha Mein Tanhaa Hoon
Tum Aao To Kya Na Aao To Kya!

Jab Dekhne Wala Koi Nahin
Bujh Jaao To Kya Genaao To Kya

Hai Yoon Bhi Zyaan Aur Yoon Bhi Zyaan
Ji Jaao To Kya Marr Jaao To Kya

Qurbaan Jau Uss Shaks Ke Haatho Ki Lakiro Par…

Qurbaan Jau Uss Shaks Ke Haatho Ki Lakiro Par…
Jisne Tujhe Maanga B Nhi Or Apna Bana Liya…

Sunday, October 11, 2009

Us waqt intezar ka Aalam Na poochiye

Us waqt intezar ka Aalam Na poochiye
jab keh raha ho koi "Bus Aa raha hon main"

Sar Jo kat Jaaye To Dastaar Sambhale Rakhna

Itna Dushwar Nahi Maut ko Taaley Rakhna
Sar Jo kat Jaaye To Dastaar Sambhale Rakhna,

Chot khana, Magar Is Tarah K Lodhey Uthey
Zulmat Gham Isi Tarey se Ujahely Rakhna

Apne Ahbaab ko Seeney Se Lagaye Phirna
Aik Khanjar Bhi Jaib Mein Daley Rakhna,

Meri Pehchan Mere Peer-e-Hain Zakhm Se Hai
Ab Bhi Aezaaz sahi Shaal Do Shaley Rakhna,

Dasht Ehsaas Ki Hiddat Bhi Kayamat Hai “Nadeem”
Kuch Zaroori To Nahi Paaon Mein Chaley Rakhna

teri ummid tera intazar jab se hai

teri ummid tera intazar jab se hai
na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai

ksi ka dard ho karte hain tere nam raqam
gila hai jo bhi kisi se teri sabab se hai

hua hai jab se dil-e-nasabur beqabu
kalam tujhse nazar ko bari adab se hai

agar sharar hai to bharak, jo phul hai to khile
tarah tarah k talab tere rang-e-lab se hai

kahan gaye shab-e-furqat k jagnewale
sitara-e-sahar ham-kalam kab se hai

C L O S E N E S S

C L O S E N E S S
Reside In
Heart
So No Matter
How Busy We Are
Or
How Far We Are
You Are Always Remebered & Cared

Friday, October 9, 2009

Good Time,Bad Time,Day Time,Night Time

Good Time,Bad Time,Day Time,Night Time,Work Time,Off Time,Happy Time,Sad Time,Sleep Time,In the Mean Time...I MISS YOU all the Time

Tujh Se Bichra To Ksi Darr Ka Na Raha

Tujh Se Bichra To Ksi Darr Ka Na Raha
Khushk Patty Ki Trha Aaj B Safar Me Hon

Dill Se Milla Kay Dill Piar Kijeeye,

Dill Se Milla Kay Dill Piar Kijeeye,
Koi Suhanaa Iqrar Kijeeye,
O Sharmanaa Kaisa, Ghabrana Kaisa,
Jeeney Se Pehley Marr Jana Kaisa,
Aanchlon Kee Chaaon Mein,
Rass Bharri Fizaon Mein,
Iss Zindagi Ko Gulzar Kijeey,

Dill Se Milla Kay Dill Piar Kijeeye,
Aati Baharein, Jaati Baharein,
Kab Se Kharri Hain Bandhey Qatarein,
Chhaa Rahi Hai Bekhudi,
Keh Rahi Hai Zindagi,
Jee Kee Umangein Baedaar Kijeeye

Dill Se Milla Kay Dill Piar Kijeeye,
Dill Se Bhulla Kay Ruswayion Ko,
Jannat Bana Le Tanhayion Ko,
Aarzu Jawann Hai,
Waqt Mehrbaan Hai,
Dill Ko Na Janey Hoshiyaar Kijeeye
Dill Se Milla Kay Dill Piar Kijeeye

Mujhe To Ujaad Diya Uski Bewafa

Mujhe To Ujaad Diya Uski Bewafa Mohabbat Ne
Varna Hum Bhi Khilkhikati Bahar The Kabhi.

Sab Sir-Ba-Sir Faraib Hain... Kya Inka Aitbar

Sab Sir-Ba-Sir Faraib Hain... Kya Inka Aitbar
Ye Pyar... Husn-O-ishq... Jawani... Muhabbatain

Mujh se mukhlis tha na waakif mery jazbaat se tha

Mujh se mukhlis tha na waakif mery jazbaat se tha. .
Us ka rishta to faqat apny mafadaat se tha. .

Ab jo bichra hai to kia ro’en judai pe teri. .
Ye andesha tou humain pehli mulaqaat se tha. .

Dil k bujhney ka hawao’n se gila kia karna?
Ye diya naza’a k aalam mein to kal raat se tha. .

Mein kharaabo’n ka makeen aur ta’alluq mera. .
Tery naatay kabhi khuwabo’n k mehal’aat se tha. .

Lab-kushaai pe khula us k sukhan ka iflaas. .
Kitna aarasta wo atlas-o-banaat se tha.

Jazbon ko meethi neend sula to nahin diya,

Jazbon ko meethi neend sula to nahin diya,
Phir apna aap hum ne bhula to nahin diya,

Zinda ho tum bhi tark-e-taluq ke bawjood,
Hum ne bhi apna aap jalaa to nahin diya,

Woh laut ker jab aaya to kehne laga humain,
Aankhon mein aur khawab sajaa to nahin diya ?

Kuch manzilain hain aur bhi raah-e-hayaat mein,
Jeewan isi gali mein lutaa to nahin diya,

Arshad! Bhuje bhuje nazar ate ho aaj kal,
Roshan diya wafaa ka bhujaa to nahin diya…

Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain

Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain

Us Se Kehna Hum Mazay Main Hain
Bas Yaadain Bohat Stati Hain
Un Ki Duuri Ka Gham Nahi Mujhe
Bas Zara Aankhain Bheeg Jati Hain

Thursday, October 8, 2009

Salla Trackshut pahenke dhoka de raha tha

Day a monkey kicked a sarder on his back and run away.Sarder run to catch him and find a zebra in the field.Sarder kicked the zebra on his back and said " Salla Trackshut pahenke dhoka de raha tha..

Wednesday, October 7, 2009

apun k mind me 1 laucha chal rela he

Munna Bhai:- a Circuit, apun k mind me 1 laucha chal rela he,
ye Bagla 1 tang utha k kae ko sota he?
Circuit:- aray simple Bhai,
bolay to agar Bagla dosri tang b utha lega to gir jai ga

Tere aik aik lafz ko hazar matlab pehnaye hum ne

Tere aik aik lafz ko hazar matlab pehnaye hum ne,
Chain se soney na diya teri adhoori baaton ne..

Tuesday, October 6, 2009

Abhi mehfil mein nazar ate hain naadam chehre

Abhi mehfil mein nazar ate hain naadam chehre
Lau charaghon ki zara aur ghata di jaye..

Isi Khayaal Me Guzri Hai Shaam-E-Dard Aksar

Isi Khayaal Me Guzri Hai Shaam-E-Dard Aksar
K Dard Had Se Barhy Ga To Muskura Dain gy

Mohabbat Jab Sakoone Zindgi Barbad Kerti Hay

Mohabbat Jab Sakoone Zindgi Barbad Kerti Hay
To Labb Khamosoh Rehtey Hein Nazar Fariyad Kerti Hay
Jiggar Rahey Wafa Mein Nakash Essy Choher Aya Hoon
Ke Duniya Dekhiti Hay Oar Abb Tak Yaad Kerti Hay

When pride rolls me down

When pride rolls me down,
Humbleness pulls me up;

When lie cracks me down,
Truth builds me up;

When sins makes me dark,
Forgiveness make me light;

When world push me away,
My allah pulls me near.

Good morning.
Have a blessed day

Birthday Shayeri Sms in Hindi

Birthday Shayeri Sms in Hindi

Apne Yaar Ko Kya Tohfa Du.
Tumhari Is Ada Pe Kya Jawab Du
Apne Yaar Ko Kya Tohfa Du
Koi Acha Sa Phool Hota To Mangvata Mali Se
Jo Khud Gulab Hai Usko Kya Gulab Du…

May Allah increase ur EMAN

May Allah increase ur EMAN,
Grant u AHSAN,
Restore on u SABAR,
Delight u in ZIKER,
Bless u with TAQWA,
Accept ur TOBA
&
honour u with JANNAT

Sometimes My eyes get jealouse of my Heart!

Sometimes My eyes get jealouse of my Heart!!!
You Know Why?Bcoz.....You Always Remain close to my HEART n far from my EYES

Woh kya din they jab ik larki mere khawbon mein rehti thi,

Woh kya din they jab ik larki mere khawbon mein rehti thi,
Woh mere sath hansti thi woh mere sath roti thi,

Lipat jati thi mujhse bhag kar main jab bhi ghar ata tha,
Kahin bhi jab jaaney lagta to woh rasta rok leti thi,

Woh kehti thi mohabbat ka koi mausam nahin hotaa,
Woh subah o shaam chahat ke sunehrey khawb bunti thi,

Hum aksar chandni raton mein sehraa ke taraf jatey,
Woh bheegi rai par mera aur apna naam likhti thi,

Woh daryaa ke kinarey beth jati thi kabhi ja kar,
Mujhe us waqt sohni ki tarah woh sachi lagti thi,

Bicharr janey ka us ke dil mein ik dharrka sa rehta tha,
Woh mera haath gehri neend mein bhi thaamey rakhti thi..

Monday, October 5, 2009

Eid ki Dua Sab Dostoon K Lieye

” Eid ki Dua Sab Dostoon K Lieye ”
Saarey Jahan ki Khushiyaan uska Naseeb Karday,
Hansta rahey Sada woh Ussey khushnaseeb karday,
Kabhi Dil na uska Tootey Kabhi Chot (Zakham) na Woh khaaye,
usko Wafa kYa RAB Itna Kareeb Karday,
Us k Laboon pay ya RAB Sada hon Muskrahatain,
Kismat mey uski Hansna Mere Habib Karday,
Chal kar Jahan bhi JaayePhoolon k raastey hon,
Manzil Har Khushi ki us k Kareeb karday,
DIL Mera Ab Tak Kahan Mutmaeen Huwa Hey!,
us K Dukhoon ko Ya RAB Mera Naseeb Karday.

Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi,
Chale Aao K Duniya Se Ja Raha Hai Koi,

Azal Se Keh Do K Ruk Jaaye Do Ghari K Lye,
Suna Hai Aane Ka Waada Nibha Raha Hai Koi,

Woh Is Naaz Se Bethe Hein Laash K Paas,
Jese Roothe Howe Ko Mana Raha Hai Koi,

Palat Ker Na Aa Jaaye Phir Saans Nabbzon Mein,
Itne Haseen Haathoon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi..

Band kar lety hy awarah hawa muthi may

Band kar lety hy awarah hawa muthi may
phir hawa may isay taqseem karty hay

Barishain rooth jatee hain

Barishain rooth jatee hain
Kisee ko naa mananey par

Kisee kay yaad aney par
Yeh phir rimjhim barastee hain
Bohat nuqsaan kartee hain
Tab pale kuch nahee rahtaa

Tabhee to tum say kahtaa hoon
Mohabbat tum nahee karnaa
Tum es qazye main mat parnaa

Agar tum ruk na pao to
Khud ko mohaan mat karnaa
Mohabbat ko anaa kay but pay
Tum qurbaan mat karnaa

Kyunkay

Mohabbat zindagee kay dukh kaa
Dil ko baar daytee hay
Agar tum jeetana chaho
Tumhain yeh haar daytee hay
Jo sar ko tum jhukaa do gay
Tumhain yeh piyaar daytee hay

FAISAL rakhnaa tum yeh yaad
Mohabbat mar nahee saktee
Mohabbat maar daytee hay

Sunday, October 4, 2009

Bay Chain Musafir Urdu Poetry

Bay Chain Musafir Urdu Poetry

Doorion Ka Sabab Shayad Barhtay Huway Faaslay Thay
Mohabbat Nay Sehra Paar Kiya Garchay Paaon Mein Ablay Thay

Bay Niazi, Bay Aitana’iee Kyoon Barh Gayee Hai Aakhir
Kabhi Hum Bhee Thay Shanasa Kabhi Hum Bhee Tum Say Milay Thay

Musafir Kyoon Yeklakht Bay Chain Ho Gayay Hain
Bhais Badal Kar Rahzan Shayad Qaaflay Say Aa Milay Thay

Manzil Ki Doori Nay Bhee Thakan Safar Ki Barha Di
Yoon Bhee Teri Talash Men Hum Zindagi Bhar Chalay Thay

Aap Hi Nay Dair Kardi Aanay Men Shaayad
Warna Dareechay To “Humtum” Kay Yunhi Sada Khulay Thay

Labon Py Naam Rakhny Sy

Labon Py Naam Rakhny Sy
Dilon Mein Yaad Karny Sy
Har Ek Dhadkan, Har Ek Tadpan
Kisi Ke Naam Karny Sy
Koi Apna Nahin Banta

Tamam Umr Ki Khushiyan
Mohabbat Ki Sabhi Ghadiyan
Kisi Ko Daan Karny Sy
K Uss Py Maan Karny Sy
Koi Apna Nahin Banta

Wo Pehly Pyar Ki Baatei?n
Rafaqat Ki Sabhi Raatein
Wo Chahat Ki Sabhi Rasmein
Mohabbat Ki Sabhi Qasmein
Humesha Yaad Rakhny Sy
Koi Apna Nahin Banta

Kisi Tanha Akeli Raah-Guzar Par
Purany Sy Kisi Boodhey Shajar Par
Patthar Sy Koi Dil Banany Sy
Aur
Us Mein Apna Aur Kisi Ka Naam Sajany Sy
Koi Apna Nahin Banta?!!!

K Jab, Aankhein Hi Mar Jaayen
Tou Phir Sapna Nahi Banta
Ye Jeewan Daan Kar Jaayen
Tou Bhi Apna Nahi Banta
Koi Apna Nahin Banta

Saturday, October 3, 2009

Yun to hain wafaa ki beshumaar nishaaniyan

Yun to hain wafaa ki beshumaar nishaaniyan
Magar sab se niraaley hain tere khat

?TUM KHAFA KYUN HO??

?TUM KHAFA KYUN HO??

Tumhen Mujse gila kya hy.??

Achanak
be rukhi itni.

Batao to hua kya hy.??

Manaaun kis tarah tum ko.??

Mujhy itna to
batla do.

Agar ab ho saky tum se.

To ye ahsan farma do.

Meri manzil mohabat hy..

Mujhy manzil pe pohncha do..

Tumhari aankh men aansu..
Mujhy achy nhi lagty..

Tumhary narm honton pe..
?Gily achy nhi lagty?..

Tumhary muskurany se..

Mera dil muskurata hy..

Tumhary rooth jany se..

Mera dil toot jata hai

‘eid khatam

‘eid khatam
bakra hazam
apni routine pay wapis ao janab
bhuat kha lia dil,kal….’

Meri Afsurdagi Se Pareshan Na Ho

Meri Afsurdagi Se Pareshan Na Ho

Tu Meri Talkhiyon Ka Sabab To Nahi

Teri Aankhen To Meri Hi Dam-Saaz Hain

Theen Kabhi Ajnabi Lekin Ab To Nahi

Tujh Ko Meri Musarrat Muqaddam Sahi

Tera Gham Mujh Ko Wajah-E-Tarab To Nahi

Tera Ahsaan Hai Tu Ne Mere Liye

Apni Palkon Se Raahon Ke Kaante Chuney

Khud Kari Dhoop Mai Reh Ke Mere Liye

Tu Ne Zulfon Ke Shadaab Saaye Buney

Meri Khatir Zamaane Ko Pagal Kaha

Meri Khatir Zamaane Ke Taaney Sune

Tu Meri Zindagi Hai Magar Jaan-E-Mann!

Ab Wo Ishq-O-Mohabbat Ki Rasmein Nahi

Mere Dil Mai Kaii Ghao Aese Bhi Hain

Jin Ka Darmaan Teri Dastaras Mai Nahi

Ek Gham Jis Ki Shiddat Hama-Geer Hai

Tere Bas Mai Nahi, Mere Bas Mai Nahi

Your birthday is the perfect day

Your birthday is the perfect day
to say I care,
because you will remember me
when u certainly make it a big affair,
and when you do hold a party…
I bet you will be the one who would care
to make ur special day a costly affair

Apney he habe-e-haal mangti hoon

Apney he habe-e-haal mangti hoon
bas dua-e-wisaal mangti hoon,

teri qurbat main jo guzar sako,
main wohi maah-o-saal mangti hoon,

jiski tabeer mil sake mujhko,
khuab sa ik khyaal mangti hoon,

mere hathon ko bas hina dedey,
tujh se main zar na maal mangti hoon

Tu chaly saath to aahat b na aye apni

Tu chaly saath to aahat b na aye apni
darmiyaan hum b na hon... yon tujhe tanha chahain

Juda hone k mousam main juda hona zarori tha,

Juda hone k mousam main juda hona zarori tha,
naajane kyun kisi ka bewafa hona zarori tha,

kisi se koi bhi shikwa na koi shikayat hai,
jo mere sath chahat main hua, hona zarori tha

boht nazdeek the dil islye ab doriyan bhi hain,
dilon k darmiyan kch fasala hona zarori tha,

usay bhi dard dene ka bht hi shoq tha WASI,
hamain bhi dard-o-gham se ashna hona zarori tha!!

Isliye Hum Aansu Bahate Rahe

Isliye Hum Aansu Bahate Rahe

Woh Nadiyan Nahi Aansu They Mere
Jinpar Woh Kashti Chalate Rahe
Manzil Mile Unhein Yeh Chahat Thi Meri
Isliye Hum Aansu Bahate Rahe

Friday, October 2, 2009

Your arms were always open when I needed a hug.

Your arms were always open when I needed a hug.
Your heart understood when I needed a friend.
Your gentle eyes were stern when I needed a lesson.
Your strength and love has guided me and gave me wings to fly.
(Sarah Malin)

Wishing you a very happy mother's day

Jin chiraaGhoN ko havaaoN kaa koi Khauf nahiN

Jin chiraaGhoN ko havaaoN kaa koi Khauf nahiN
Un chiraaGhoN ko havaaoN se bachaayaa jaaye

Baagh meN jaane ke aadaab huaa karte haiN
Kisii titli ko na phuuloN se uDaayaa jaaye

Khudakushi karne ki himmat nahiN hotii sab meN
Aur kuchh din yuuNhi logoN ko sataayaa jaaye

Ghar se masjid hai bahut dur chalo yuN kar leN
Kisii rote hue bachche ko haNsaayaa jaaye…!!!!!!

Tumhare barey mein hum ne jtne bhi khawab dekhe,

Tumhare barey mein hum ne jtne bhi khawab dekhe,
Yeh khawab kab they dar-haqeeqat azaab dekhe,

Tumhare chehere ki chandni pe nazar ho jis ki,
Woh kese mumkin hai jalwaa mahtaab dekhe,

Yeh kher-o-shar ki tameez apni jagha hai lekin,
Jinon mein kis ne gunah dekhe sawaab dekhe,

Hamare honton pe peyas ab tak sajji huyi hai,
Tumhari chahat mein hum ne kya kya saraab dekhe,

Mere chaman me hai zard mausam ki hukmrani,
Zamana guzra hai koi taaza gulaab dekhe,

Teri nigahon ne mast-o-bekhud kiya hai warna,
Sharab dekhi na hum ne jaam-e-sharab dekhe,

Qaraar ik pal nahi hai us ke bagher Arshad,
Judai mein uski hum ne kitne azaab dekhe..

Tum Muhabbat Ko Khel Kehte Ho

Tum Muhabbat Ko Khel Kehte Ho
Hum Ne Barbaad Zindagi Kr Li.

Unke Larazte Hothon Ne Di Lakhon Ko Jindagi,

Unke Larazte Hothon Ne Di Lakhon Ko Jindagi,
Kyu Hum Hi Unke Deedar Ke Kabil Nahi Hue.

Na Samajh Sake Wo Hame Ya Hum Nahi Samajhe,
Chune Chale The Chand Ko Aur Khud Jhulas Gaye.

Kuch Gam Nahi Phir Bhi Hame Jab Bhi Kabhi Socha,
Pyar Na Sahi Hum Dard Ke Layak To Ho Gaye.

Gar Pyar Mein Jeete Toh Wo Bhi Tha Kya Jeena,
Iss Dard Ki Kasak Mein Unki Yad Toh Shamil,

Wo Na Samajh Sake Hame Toh Gam Nahi Uska,
Har Pyar Ko Hoti Nahi Manjil Kabhi Hasil

nazar indaz kar ny ke saza dyna thee thuj ko

nazar indaz kar ny ke saza dyna thee thuj ko
tery dil main utar jana zaroori hogaya tha

Thursday, October 1, 2009

Ksi Ki Hasratain Mar Gai Hain Aaj

Ksi Ki Hasratain Mar Gai Hain Aaj
Aandhiyan Be-Waja Nahi Aati...

Apne hathon se yon chehre ko chupate kyon ho

Apne hathon se yon chehre ko chupate kyon ho,

Mujh se sharmate ho to saamne aate kyon ho,

Tum kabi meri tarah kar bhi lo ikrar-e-wafa,

Pyar karte ho to phir pyar chupate kyon ho,

Ashk aankhon main meri dekh k rote ho tum bhi,

Dil bhar aata hai to phir Dil ko dukhate kyon ho,

In se wabasta hai jab mera muqaddar phir tum,

Mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,

Roz mar mar k mujhe jeene ko kehte ho,

Milne aate ho to phir laut k jate kyon ho.

Chaha Tha Jise, Puja Tha Jise,

Chaha Tha Jise, Puja Tha Jise,
Mana Tha Jise, Jana Tha Jise
Uski Bewafai K Badd,
Hum Ji Na Sake ,
Dard-E-Zeher Zindigi Hum Pe Na Sake