Monday, July 31, 2006

Be samar ham tere dar se gaey

Be samar ham tere dar se gaey
Hein zida magar dil jigar se gaey
Ishq ki maey kar gaee kaam apna
Ek ghont mein behr-o-barr se gaey
Chaman mein baney ga aab ashiana
Aarzo ley kar ye ghar se gaey
Talash-e-jana mein katee umar saree
Tujhe he paya ham jidhar se gaey
Guzar tera tha ya jhonka saba ka
Deewane howey rah guzar se gaey
Utar jaey dil mein shokhi-e-nazar
Tujhe dekh kar us nazar se gaey
Ek rona he tha faqtt kaam apna
Bahe aanso itne deeda varr se gaey
Dil aakhir dil hey sang-e-rah nahein
Ek thokar mein udhar idhar se gaey
Too he mila na Kaabey ka rasta
Ho ke nashad tere shahar se gaey
Baaz raho ATHAR ishq ke safar se
Pukarein gey logg Majno jidhar se gaey

bat kya admi ki ban ai asman se zamin napwai

bat kya admi ki ban ai
asman se zamin napwai

charakh zan uske waste hai madam
ho gaya din tamam rat ai

mah-o-khurshid-o-bad sabhi
uski khatir hue hain saudai

kaise kaise kiye taraddad jab
rang rang usko chiz pahunchai

usko tarajah sab ke upar de
lutf-e-haq ne ki izzat afzai

hairat ati hai uski baten dekh
khud sari khud satai khud rai

shukr ke sajdon mein ye wajib tha
ye bhi karta sajda jabin sai

so to uski tabiyat-e-sarkash
sar na lai faro ke tuk lai

'Mir' na chiz musht-e-khak Allah
un ne ye kibriya kahan pai

Sunday, July 30, 2006

Saal-e-Nou Ki Duaa

Saal-e-Nou Ki Duaa

Hai Tmnaa K Saal-E- Nou Tujh Ko
Har Musarat Se Hum Kinaar Karey

Khil Uthein Phool Tere Aangan Mein
Tuu Agr Khuwahish-E-Bahaar Karey

Mustkurahat Laboun Pe Ho Raqsaa_N
Sara Aalm Tujh Hi Sey Piyar Karey

Tujh Se Har Ranj Door Hojaye
Har Khushi Tujh Pe Jaan Nisaar Karey

Tere Aanagn Mein Qaafley Utrein
Jhilmilatey Hoye Sitaroun Key

Ho Key Bey Ikhteyaar Uth Jayein
Teri Janib Qadam Bharoun Key

Har Nayi Subha Tere Daman Mein
Chahatoun Key Gulaab Bhr Jaye

Har Haseen Shaam Apni Raanayi
Tere Khuwaboun Key Naam Kr Jaye

Dekh K Tere Rukh Ki Shadaabi
Rang-E- Qous-E-Qizah Nikhar Jaye

Muskurati Sdaa Hayaat Rahey
Tere Qadmoun Mein Kayinaat Rahey

Gam Na Dil Mein Kabhi Ujagar Ho
Shaadmani Tera Muqadar Ho

Aaney Waley Dino Ki Tabani
Janey Waley Dino Sey Barh Kr Ho

Saturday, July 29, 2006

Ho Sky To ek Ehsan or Kro

Ho Sky To ek Ehsan or Kro
Khudara Mere Khwabon Se kinara Kr lo

Ghar se har waqt nikal aatey ho kholey huye baal

Ghar se har waqt nikal aatey ho kholey huye baal,
Kuch to shaam dekhi meri jaan, sawera dekho..

Sardar was writing something very slowly

Sardar was writing something very slowly.
Friend asked: Why r u writing so slowly?
Sardar: Im writing 2 my 6 yr old son,
he cant read very fast.

Friday, July 28, 2006

Dil-e-hijraan pe teri yaad ka mosam ab k

Dil-e-hijraan pe teri yaad ka mosam ab k
yon k thehra k rag rag me udasi chaai

Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaaye

Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaaye
Saans Bhi Lo To Khushboo Usi Ki Aaye
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chhaaye
Baat Koi Bhi Ho Par Naam Usi Ka Aaye

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai

Suna hai sher ka jab pait bhar jaaye
To wo hamla nahin kerta,

Suna hai jab kisi nadi k paani mainBue k ghonsle ka gandami saaya larazta hai

To nadi ki ro pehli machhilyaan us ko
Parosi maan leti hain,

Hava k taiz jhonke jab darakhton ko hilaate hain
To Meena apne ghar ko bhool ker

Ka?uve k andon ko paron main thaam leti hai
Suna hai Ghonsle se jab koi bacha gire to

Saara jangle jaag jaata hai.
Naddi main baar aa jaaye

Koi Pull toot jaaye
To kisi lakri k takhte per

Gulahri, Saanp, Cheeta aur Bakri
Saath hote hain.

Suna hai janglon ka bhi koi dastoor hota hai,
Khuda-wanda Jaleel-o Mu?atbar, Daana-o Beena Munsif-o Akber,

HUMARE SHAHAR MAIN AB,
JANGLON KA HI KOI DASTOOR NAAFIZ KER..!!

‘Faraz’ ab koi sauda koi junun bhi nahin

‘Faraz’ ab koi sauda koi junun bhi nahin
magar qarar se din kat rahe hon yun bhi nahin

lab-o-dahan bhi mila guftagu ka fun bhi mila
magar jo dil pe guzarati hai kah sakun bhi nahin

meri zuban ki luknat se badguman na ho
jo tu kahe to tujhe umr bhar milun bhi nahin

‘Faraz’ jaise koi diya turbat-e-hava chahe hai
tu pas aye to mumkin hai main rahun bhi nahin…!!!!

Thursday, July 27, 2006

Paikar tha wafa ka Muhabat ka Khuda ka

Paikar tha wafa ka Muhabat ka Khuda ka !
Wo shahks zamany sa sab sa hi juda tha

Chaahat kay hazanay thay har lafz main us kay
Daaman mera us na duaoon sa bhara tha

Mujh ko naheen dekha us na karhee dhoop sa choo kar
Baba mera duniya main mujhe aisa jo mila tha

Fikrain na zamanay ki kabhi pass bhi aeen !
har dard meri hasti sa darta hi raha tha

Jab tak saansoon ka basaira mera baba
Tab tak main ghamoon sa bachta hi raha

Us shaam ki hudat meray dil sa naheen jaati
Jis shaam tera saya meray saye sa utha tha

Pachta Rahe Hain Ham Pyar Karke

Pachta Rahe Hain Ham Pyar Karke

Haar Gaye Ham Fariyad Karke,
Ham Ro Rahe Hain Unhe Yad Karke,
Jal Gaye Yadon Me Jismo Jan Bhi,
Pachta Rahe Hain Ham Pyar Karke.

Wednesday, July 26, 2006

Ye Jo Aansuuoun Mein Gharoor Hai

Ye Jo Aansuuoun Mein Gharoor Hai
Ye Mohabbaton Ka Fatoor Hai

Tera Aasmaan Qareeb Tha
Mera Aasmaan Tou Door Hai

Mujhe Keh Rahi Thi Wo Azam Se
Mujhe Tum Ko Paana Zaroor Hai

Ye Meri Shabeeh Nahi, Suno
Ye Tou Meri Aankh Ka Noor Hai

Tere Ishq Ka Teri Rooh Ka
Meri Wehshaton Mein Zahoor Hai

Meri Shayari Ki Ragon Mein Sab
Teri Chaahaton Ka Saroor Hai

Mujhe Apne Rutbay Ka iLm Hai
Mujhe Apne Gham Ka Shaoor Hai

Meri Rooh Gham Se Nidhaal Hai
Meri Zaat Hijr Se Choor Hai

Teri Naik Naami Mein Kaafi Kuch
Meri Be-Kali Ka Kasoor Hai

yuun bhii hogaa vo mujhe dil se bhulaa degaa magar

yuun bhii hogaa vo mujhe dil se bhulaa degaa magar
ye bhii hogaa Khud usii men ek Khalaa rah jaayegaa

Pall Bhar Wo Chasham E Tar Se Mujhe Dekhta Raha

Pall Bhar Wo Chasham E Tar Se Mujhe Dekhta Raha
Phir Uss K Aansoun Se Meri Aankh Bhar Gayi

Zindgi Tu to gawara hai mgr us k baghair

Zindgi Tu to gawara hai mgr us k baghair
Masala ye hai Tujhe kese guzara jaye

Dil Ne Kaha Ankh Se Sad Poems

Dil Ne Kaha Ankh Se Sad Poems

Dil Ne Kaha Ankh Se, Dekha Karo Kum
Kyunki Dekhte Ho Tum, Aur Tadpte Hai Hum
Us Par Aankh Ne Kaha Dis Se, Socha Kro Kum
Kyunki Sochte Ho Tum Aur Rote Hai Hum

Tamam umer qaaz me guzarne wale

Tamam umer qaaz me guzarne wale,
Raha hoe hain to siyad hona chahte hain

Gar zindagi mein mil gaye tum ittefaq se

Gar zindagi mein mil gaye tum ittefaq se
Poochaingy apna haal teri be-basi se hum

sham ko subah-e-chaman yad ai

sham ko subah-e-chaman yad ai
kis ki Khushbu-e-badan yad ai

jab Khayalon main koi mor aya
tere gesu ki shikan yad ai

yad aye tere paikar ke Khutut
apani kotahi-e-fan yad ai

chand jab dur ufaq par duba
tere lahje ki thakan yad ai

din shuaon se ulajhte guzara
rat ai to kiran yad ai

Kabhi sochta hoon mein, ke tab kaisa hota

Kabhi sochta hoon mein, ke tab kaisa hota
Ke jo sab kuch, meri soch ke jaisa hota

Tum mujh jaise hote, mein tum jaisa hota
Diwaar beech mein lagaye na ye paisa hota

Hum muskura ke jo chaahte khareed laate
Har gareeb bhi ek raees shakhs jaisa hota

Har koi milta ek duje se kholoos ke sath
Aur uska dil bhi saaf sheeshe jaisa hota

Koi marne deta na, kisi ko bhook aur pyaas se
Hum sabke dil mein Khauf Khuda ka aisa hota

Koi aur badle na badle, ye baad ki baat hei
Tu dua kar janaa kash tu bhi aisa hota?

Monday, July 24, 2006

Urdu Love Shayari – Karb Ka Tofaan

Urdu Love Shayari – Karb Ka Tofaan

Ye Karb Ka Tofaan Guzarta Kion Nahin
Dil Toot Gia Hai To Bikhartaa Kion Nahin

Aik Hi Shaks Ko Chahta Hai Kion Itnaa
Koi Dosra Is Dil Pe Utarta Kion Nahin

Har Bar Iski Berukhi Pe Pyar Aata Hai
Dil Us K Riwajon Pe Akarta Kion Nahin

Kehne Ko To Wo Dard Ek Lamhe Ka Hai Magar
Wo Dard Ka Lamha, Guzarta Kion Nahin

Saturday, July 22, 2006

Kaghaz ki kashti thi paani ka kinara tha

Kaghaz ki kashti thi paani ka kinara tha
Khelne ki masti thi dil ye awaara tha
Kahan aagaye is samajhdari k daldal mein
Wo nadaan bachpan bhi kitna pyara tha

Friday, July 21, 2006

Teri nafrat me woh dam nahi jo meri chahat ko mita de MOHSIN

Teri nafrat me woh dam nahi jo meri chahat ko mita de MOHSIN
Meri chahat ka samandar Teri soch se bi gehra hai

Chaly Aao k Phr Se Ajnabi Ho Kr Milain

Chaly Aao k Phr Se Ajnabi Ho Kr Milain
Tum Mera Naam Pocho... Main Tumhara Haal Pochon

Mein Ne Us Se Poocha Qeemat Kia Hai Mohabbat Ki

Mein Ne Us Se Poocha Qeemat Kia Hai Mohabbat Ki?
Us Ne Bhi Hans Kar Kaha, Aansu Bhari Aankhein,
Aur Umer Bhar Ka Intezar..!

Meri Mohabbat – Love Shayari 140 Words

Meri Mohabbat – Love Shayari 140 Words

Tumhein Meri Mohabbat Ki Kasam Sach Sach Bata Dena..
Gale Main Daal Kar Baahain, Manana Kiss se Seekha Hai

Thursday, July 20, 2006

KIA YA MUMKIN HEY JAB RAAT K PICHLAY PAHER

KIA YA MUMKIN HEY JAB RAAT K PICHLAY PAHER
NEEND AANKHOON SE KOSOON DOOR HOOO
DIL BECHAN HOO ROOOH BESAKOON HOOO
TUMHEIN SOOCHOON
JAB MERI ZINDAGI UDASS HOO
HER PAL MUJHAY AKALAYPAN KA EHSAS HOO
TUMHEIN SOOCHOON
JO MERI ZAAT KO KOI AAS HOO TUMHARI HOOO
MERI ROOH MEIN KOI PYAS HOO TUMHARI HOOO
MERI JUSTAJOO HER AARZOO TUMHARI HOOO
MEIN APNI ZAAT KI TAKMEEL TAK TUMHEIN SOOCHOON
MUJHAY AB TU IKHTIYAR DOO TUMHEIN SOOCHOON

Tujh se wabastagi ka yeh aalam hai

Tujh se wabastagi ka yeh aalam hai
Hum wo saans bhi nahi lety jis mein teri yaad na ho

Gham to sone nahin daita magar waqt ka bhi

Gham to sone nahin daita magar waqt ka bhi
Thapkian de k solane k hunar ate hain

Koi Suraj Jagey Dharti Par

Koi Suraj Jagey Dharti Par
Kuch Aisa Ho Yeh Raat Dhalley
Koi Haath Mein Thamey Hath Mera
Koi Le Ke Mujh Ko Sath Chaley

Koi Baithey Mere Pehlu Mein
Mere Hath Pe Apna Hath Dharrey
Aor Poonjh Ke Aansu Ankhon Se
Wo Dheere Se Ye Baat Kahey
Youn Tanha Safar Ab Kat'ta Nahin
Chalo Hum Bhi Tere Sath Chaley

Wednesday, July 19, 2006

Husan ko ata hai jab apni zarorat ka kheal

Husan ko ata hai jab apni zarorat ka kheal,
Ashk par lutaf ki barsat bhi ho jati hai

Jakri hoi hai In Me Meri Saari kaayenaat

Jakri hoi hai In Me Meri Saari kaayenaat
Go dekhne me naram Hain teri kalaiyan...

Duniya ki loo`gee khushiyaan manaane mein reh gaya

Duniya ki loo`gee khushiyaan manaane mein reh gaya
ham bad-nasiib ashk bahaane mein reh gaye

kuchh jaaN- nissaar aise bhi guzare hai.n dehr mein
miT kar bhi jinn ke naam, zamaane me.n reh gaye

mismaar ho gayaa thaa mera ghar fasaad mein
taa- umr apnaa ghar hi banaane me.n reh gaye

aa.nsuu chhalak paRe tau, khabar sab ko hi gayii
ham apne dil ke daaGH chhipaane mein reh gaye

khud sar-baland ho na sake uumr-bhar kabhii
apne hariif ko jo jhukaane mein reh gaye

sikhaa nahii.n zamaane se chhoTaa sa ik sabaq
taa-uumr duusron ko sikhaane mein reh gaye

apne hunar se aur tau zardaar ban gaye
ham lo`g khote sikke chalaane mein reh gaye

insaan bhi jalaaye gaye lakriyon ke saath
ham hai.n k apni jaan bachaane mein reh gaye

Tassalsul uski yadon ka hoa hai ab k yon jese

Tassalsul uski yadon ka hoa hai ab k yon jese
ksi Jogi ka Mantar ho...ksi Rogi ki aahain hon

koi chehra hua roshan na ujagar ankhain

koi chehra hua roshan na ujagar ankhain
aina dekh rahi thin meri pathar ankhain

le uri waqt ki andhi jinhen apne hamrah
aj phir dhund rahi hain wahi manzar ankhain

phut niklin to kai shahar-e-tamanna dube
ek qatre ko tarasati hui banjar ankhain

us ko dekha hai to ab shauq ka wo alam hai
apne halakon se nikal ai hain bahar ankhain

tu nigahon ki zuban Khub samajhata hoga
teri janib to utha karati hain aksar ankhain

log marte na dar-o-bam se takara ke kabhi
dekh lete jo 'Kamal' us ki samandar ankhain

Huwa jo kuch bhulana chahiye tha,

Huwa jo kuch bhulana chahiye tha,
Use ab lout aana chaiye tha..!

Yeh sara bojh mere sar pe kyon hai,
Use bhi thora gham uthana chaiye tha..!

Itni khamoshi se taaluk tor diya,
Usey pehle batana chaiye tha..!

Usi ki yaad ki khushboo hai dil mein,
Mujhe jis ko bhulana chaiye tha..!

Zara si galti pe rooth baithe,
Kia use bas bahana chaiye tha?

Mujhe pa kar use kiya chain milta,
Jise sara zamana chahiye tha !!!

Tuesday, July 18, 2006

dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee

dhoop khatioon ma utr kar zafraani ho gayee
sarmay ashjaar ki poshaak dhaani ho gayee

jaisay jaisay umr bhigi sado poshaaki gayee
soot peela, shart niili , taayee dhaani ho gayee

is ki ardo main ab bhi maghrabhi lahjaa mila
kaalay baalon ki rangat zaafaraani ho gayee

saanp k bosay ma kaisa pyaar tha k faatahaa
phr phraa kr ek sadaaya aasmaani ho gayee

narm tahni dhund ki yalghaar ko sahti hui
shaah ki baghoon ma aakar jaadwaani ho gaye

Mere Myar e Takhayul Se Bhe Ooncha Nikla,

Mere Myar e Takhayul Se Bhe Ooncha Nikla,
Jis Ko Jhota Me Samjhta Tha Wo Sacha Nikla.

Me mujassam usey samjha usey pana chaha,
aik perchai tha wo shakhs bhe saya nikla.

Dunya walo ki nazar me to bura tha lekin,
me ne us shakhs ko jancha to wo acha nikla.

Maqtal e jism me jis ne meri gardan mari,
maqtal e jaan me wo hi mera sahara nikla.

Apne aangan me wo bas kaanch ka tukra thehra,
Ghar ki dehleez k us paar wo heera nikla.

Dil k sikkey ko Zarnaab samjh rakha tha,
Aaj bazar me rakha to khota nikla.

Hum ne aj un se sar-e-raah shikayat kr li,
chubh raha tha jo kai din se wo kanta nikla.

Un k aangan k shajar sary hen shadaab MOEEN,
mere aangan ka ye ik pair bhe sokha nikla.

Qurbaan Ja -2 Lines Sms Shayari Qurbaan Jau Uss Shaks Ke Haatho Ki Lakiro Par… Jisne Tujhe Maanga B Nhi Or Apna Bana Liya…

Qurbaan Ja -2 Lines Sms Shayari

Qurbaan Jau Uss Shaks Ke Haatho Ki Lakiro Par…
Jisne Tujhe Maanga B Nhi Or Apna Bana Liya…

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu

Teri yaad me zara aankhe bhigo lu.
udas raat ki tanhai me so lu.

Akele ghum ka bojh ab sambhlta nahi.
agar tu mil jaye to tujse lipat kar ro lu.

Monday, July 17, 2006

Ik larki, Pagli si, Diwani si,

Ik larki,
Pagli si, Diwani si,
Masoom si, Anjaani si,
Apne ghar ki mundair per bethi,
In galiyon aur chobaaron ko,
In koochon aur bazaaron ko,
Dekhti hai..
Jahan us ne apna bachpan guzara tha,
Us ki aankhon mein tha,
Intizaar..
Kisi ka!
Magar usey kaun samjhaye,
Ke bachpan ke vaadey to,
Kacchi dor ki tarah hote hain,
aur,
Bhala jane waley,
Kab laut kar atey hain..

Aghraz sy meri teri, chehry aty howay sabhi

Aghraz sy meri teri, chehry aty howay sabhi
chenta wafa ka ek bhi, rishto ki dhol par ny

Sunday, July 16, 2006

Mulaqatien humari be irada kiyon nahi hotien

Mulaqatien humari be irada kiyon nahi hotien,
Mohabbat ki guzar gahien kushada kiyon nahi hotien,

Humarey darmyan ye ajnabiat ka dhuwan kiyon hai,
Humari chahtien had sey zayada kiyon nahi hotien,

Merey jazbat ki khushbo utarti kiyon nahi tujhmey,
Terey dil ki sabhi rahien kushada kiyon nahi hotien,

Khushi ki chand bondien jism ko geela kar to deti hain,
Mayassar rahtien lekin zayada kiyon nahi hotien,

Terey nazdeek reh kar bhi ye doori ka gumaan kesa,
Teri bahien meri khatir kushada kiyon nahi hotien,

Barey naz o ada aksar ye dikhlati hain raston me,
Ye sohni larkian irfan sada kiyon nahi hotien.

Khud Ko Khoney Ka Bhi Pata Na Chala

Khud Ko Khoney Ka Bhi Pata Na Chala
Us Ko Paney Ki Inteha Kardi

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey,

Judaa bhi honay ka andheshaa seh nahin saktey,
Hum aik sheher mein ab khush bhi reh nahin saktey,

Yeh roz-o-shab hain hamarey ke aik dusrey se,
Chupaye phirtey hain ehwaal, keh nahin saktey,

Shakist-e-zaat ka izhaar chahtey bhi nahin,
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin saktey,

Haqeeqton ki chattanain bhi apni raah main hain,
Khayal-o-khawb ke daryaa main beh nahin saktey,

Woh be’qasoor hai, aesi bhi koi baat nahin,
Qasoor’waar hain hum, yeh bhi keh nahin saktey..

Friday, July 14, 2006

Ik mulaqat thee jo Dil ko Sada Yad rahi

Ik mulaqat thee jo Dil ko Sada Yad rahi
May jisay umer samajhta tha woh ik Pal nikla

Har Baar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum

Har Baar Mere Saamnay Aati Rahi Ho Tum
Har Baar Tum Se Mil Ke Bicharta Raha Hun Mein

Tum Kon Ho Ye Khud Bhee Nahee Jaanti Ho Tum
Mein Kon Hun Ye Khud Bhee Nahee Jaanta Hun Mein

Tum Mujh Ko Jaan Kar Hee Padi Ho Azaab Mein
Aur Is Tarah Khud Apni Sazaa Ban Gayaa Hun Mein

Main uski qaid se aazad kahan hon Mohsin

Main uski qaid se aazad kahan hon Mohsin
bana k rakhta hai sochon me yarghmaal mujhe

Kabhi aisa ho Kay Hawaon kay hath tum

Kabhi aisa ho
Kay
Hawaon kay hath tum
Sandesa bhejo
Usmay likh kar hal-e-dil ka
Har qissa bhejo


Kia guzarti hai shab-e-tarsaan may
Kaise khulti hai aankh subah-e-veeran may
Kaise kat-te hain pal sham-e-heraan may
Ye sub
Khoon-e-dil ki siyahi se
Bana kar palkon ko qalam
Kooray kaghaz per likh bhejo

Aur
Mai jaanan
Bana kar aankh dil ko apney
Parhon ye anmol sandesa
Mehsos ho mujhey

Teri saanson ki mehak
Teri chahaton ki jhalak
Teri qurbaton ki kasak

Kabhi aisa ho
Tu jaanan
Khata-e-ashk-e-nadaan
Darguzr kar dena
Kay
Iss prem sandesay kay
Kisi koney per
Chand hurf mit-tey tum dekhogi
Kay do qatray chalak jayen ge
Mujhey ruswa kar jayen ge
Kabhi aisa ho
Kabhi aisa ho……..

Kal raat yunhi Nikal gaya tha Raaston ki bhol bhuliyan may

Kal raat yunhi
Nikal gaya tha
Raaston ki bhol bhuliyan may
Ulajh gaya tha bisat-e-waqt ki
uljhanon may
ukta gaya tha mer mann
mehfilon may
isi liye nadaan mujhe le aya
veeraniyun may
had-e-nigah tak they fasle hi fasle
dor talak phelay they dhund lakey

ye fasle ye dhund lakey
sub chunida rahain
hain meri apni
mai kaise na chunta
ye zehmatain
ke adohri reh gayen hain
meri chahatain

EidUlFitr Mubarak To All Of You ..=)

EidUlFitr Mubarak To All Of You ..=)
Aur *Azadi* Bhe Mubarak, Shaitaano0o.. ;-)
Nikal Jao Apne Apne Qaid Khano0 Se.. Aur Lag Jao Apne Shaitaanpan P.. :-D

Thursday, July 13, 2006

Ik umar ke baad us ko dekha,

Ik umar ke baad us ko dekha,
Aankhon mein sawaal they hazaaron,
Honton pe magar wohi tabasum,
Chehrey pe likhi huyi udaasi,
Lehjey mein magar balaa ka thehrao,
Awaaz main goonjti judai,
Baanhen thi magar wisaal-e-samaan,

Simtti huyi baazuyon mein,
Taa’der mein sochti rahi thi,
Kis abr-e-gurez paa ki tarah,
Main kis shajar se katt gayi thi,
Kis chaaon ko tark kar diya tha,

Main us ke galey lagi huyi thi,
Woh ponchh raha tha mere aansu,
Lekin barri dair ho chuki thi..

Wednesday, July 12, 2006

Tuesday, July 11, 2006

Koi Chupkey Chupkey Kehta Hai

Koi Chupkey Chupkey Kehta Hai
Koi Geet Likhoo Meri Aankhoon Prr
Koi Shaer Kaho Merey Lafzon Parr
In Khushbu Jaisee Batoon Par
Chup Chaap Mein Sunta Rehta Hoon

Phirr In Jheel See Gehri Aankhon Par
Ekk Taza Ghazzal Likh Deta Hoon
In Phool Jaisee Baton Parr
Ekk Shaer Niya Likh Deta Hoon
Yeh Geet Ghazal Ye Shaer Mere
Sab Uss K Piyar Ka Darpan Hai
Sab Uss K Roop Ka Darshan Hai
Sab Uss Ki Aankh Ka Kajal Hai

Ek umr tarasty hain ksi ek khushi ko

Ek umr tarasty hain ksi ek khushi ko
hum log b banjar si zameeno ki trha hain

Mohhabat dukh to deti hay

Mohhabat dukh to deti hay
Magar eik bat kehni hay
Jisko chaha jata hay
Zarori ye nahi hota k
Usko pa liya jaey

Kabhi us k bicharne se
Mohabbat kam nahi hoti

Zara si dair pahle to
Yehi ehsaas hota hay
K
Koi ji nahi sakta
Maggar phir rafta rafta hi
Haqiqat khul ti jati hay
k
Mohabbat wo nahi hoti
K jisko pa liya jaey
Mohabbat wo b hoti hay
Jo hamesha sath rahti hay
Kabhi dukh k andheron mE
Kabhi khushion k daman mE

Kabhi wo aas dati hay
Kabhi umeed dati hay..!!

Usey pana tha usey khona tha,

Usey pana tha usey khona tha,
Yeh bhi hota tha woh bhi hona tha,

Kitni dair aur us ko rona tha,
Woh jo hona tha woh to hona tha,

Shayed is wastey mili aankhain,
Bojh kuch aansuyon ka ddhona tha,

Kya ghazzab kar liya ankhon ne,
Mujhe to tujhse chup ke rona tha,

Hum ne moti samajh liye they Adeem,
Warna daaman kisey bhigona tha..

Wo To Surraj ne Mehar Bani Kee

Wo To Surraj ne Mehar Bani Kee
Din Bhalla Kb Muhse Gurta Htaa

Monday, July 10, 2006

Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani

Na shaaor mein jawani, na khayal mein rawani
Koi sun ke kya karega meri dukh bhari kahani

Na zawaal nagehani, Na arooj jaawdani
Meri zindagi ka unwan, Fakt aik lafz “Faani”

Yeh shikast ka jahanum kahin phir bharak na uthey
Mere ishq ke khandar par, na karain woh gulfishani

Na gumaan yaar in per, Na jamal e yaar in mein
Tere kokab o kamar se na behel saki jawani

Mujhe aur zindagi de, ke hai dastaan adhoori
Meri maut se na hogi, mere gham ki tarjumani

Woh aik akss ke pal bhar nazar main thehra tha,

Woh aik akss ke pal bhar nazar main thehra tha,
Tamaam umar ka silsilaa hai ab mere liye..

Wife:- Maine Aap ki Birthday ke liye itna Mehnga Suit lia hy k bus?

Wife:- Maine Aap ki Birthday ke liye itna Mehnga Suit lia hy k bus?

Husband:- Shukar hy, mera b khayal aya, Lao Dikhao…?

Wife:- “Mai abhi pehen k ati hon” :D

Tum mujhe rooh mein basa lo to acha hai..

Tum mujhe rooh mein basa lo to acha hai..
Ye Dil o Jaan k rishte aksar toot jate hain

Soo baras ki zindagi main aik pal

Soo baras ki zindagi main aik pal
Tu agar kar le koy ache amal
Tuj ko duniya main mile ga us ka phaal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

gham ko sene se lagana sekh le
gair ko apna banana sekh le
Dard sah kar muskarana seekh le
Choor khudgarzi wafa ki rah chal
Aaj jo kuch boye ga kaate ga kal

Aik aadam ki sabhi olaad hain
Kuch to khush hain aur kuch nashad hain
jurm un ka kiya hay jo barbaad hain
Tu zamane k asuloon ko badal

Dusaron k waaste zinda raho
Jaan bhi jaye to hans kar jaan do
Mout k aage bhi sharminda na ho
Tu sada insaniyat rah chal
Aaj jo kuch boye ga kate ga kal

Sunday, July 9, 2006

Sad shukar kisi dashat ne sene se lagaea

Sad shukar kisi dashat ne sene se lagaea
Ik umer se mamnon e chaman zar the hum bhi

Meri chahat ka jo jahan hai

Meri chahat ka jo jahan hai,
wo meri maan hai,
meri zameen ka jo asman hai,
wo meri maan hai,
mera sub kuch jis k nam hai,
wo meri maan hai,
hunsy mere jis k wagood se hai,
wo mery maan hai

Saturday, July 8, 2006

gair len mahfil mein bose jam k

gair len mahfil mein bose jam k
ham rahen yun tashnalab paigam k

khastagi ka tum se kya shikwa k ye
hathakande hain charkh-e-nili fam k

khat likhenge garche matlab kuch na ho
ham to ashiq hain tumhare nam k

rat pi zam-zam pe may aur subh-dam
dhoe dhabbe jama-e-ehram k

dil ko ankhon ne phansaya kya magar
ye bhi halqe hain tumhare dam k

shah k hai gusl-e-sehat ki khabar
dekhiye din kab phiren hammam k

ishq ne 'ghalib' nikamma kar diya
warna ham bhi adami the kam k

Eid Ka Din Hai Aaj To Galy Mil Le ‘Nasir’

Eid Ka Din Hai Aaj To Galy Mil Le ‘Nasir’
Rasm Bhi Hai, Moqa Bhi Hai, Dastoor Bhi Hai

Kuchh To Aye Ishq Maherbanii Karr

Kuchh To Aye Ishq Maherbanii Karr
Tujhey Barson Se Paal Rakhaa Hai

Thursday, July 6, 2006

Chaman Ke Baharon Mai Tha Aashiyana

Chaman Ke Baharon Mai Tha Aashiyana
Na Jane Kahan Kho Gaya Wo Zamana

Tumhen Bhulane Ke Main Koshish Karunga
Ye Wada Karo Ke Na Tum Yad Aana

Mujhe Mere Mitane Ka Gam Hai To Ye Hai
Tumhen Bevafa Kah Raha Hai Zamana

Khudara Meri Qabr Pe Tum Na Aana
Tumhen Dekh Kar Shaq Karega Zamana

Wednesday, July 5, 2006

Ek Abr ki thandak me usy bhool hi jaain

Ek Abr ki thandak me usy bhool hi jaain
yaadon ki tapesh... itni b madham to nahi hy

Meri rooh mein jo uter sakain wo muhbbatain mujhy chahiyain

Meri rooh mein jo uter sakain wo muhbbatain mujhy chahiyain
Jo saraab hon na azab hon, wo rafaqat’ain mujhy chahiyain

Kahin mil sakain to samait lo mery roz-o-shab ki kahaniyan
Jo ghubar-e-wakt mein chup gaeen, wo hikayatain mujhy chahiyain

Jo meri shab’on k charagh thy, jo meri umeed k baagh thy
Wohi log hain meri aarzu, wohi soorat’ain mujhy chahiyain

Teri qurbat’ain nahi chahiyain meri shayari k mizaj ko
Mujhy faaslo’n se dawaam de, teri furqat’ain mujhy chahiyain

Mujhy aur kuch nahi chahiye ye duain hain mery saae’baan
Karri dhoop mein kahi’n mil sakain to yehi chatain mujhy chahiye.

Mujhko maloom na thi yeh hijr ki ramz ke tu

Mujhko maloom na thi yeh hijr ki ramz ke tu
Jab mere pass nahin hoga tou har su hoga

Tuesday, July 4, 2006

Ek Shakhs – Bhool Ghazal Shayari

Ek Shakhs – Bhool Ghazal Shayari

Na Bujha Chiragh-E-Dayaar-E-Dil, Na Bichrne Ka Tu Malaal Kar,
Tujhe De Gi Jeene Ka Hosla, Meri Yaad Rakh Le Sambhal Kar,

Ye Bhi Kya Ke Ek Hi Shakhs Ko Kabhi Sochna, Kabhi Bhoolna,
Jo Na Bujh Sake Wo Diya Jala, Jo Na Ho Sake Wo Kamal Kar,

Gham-E-Arzu Meri Justju, Mei Simat Ke Aa Gaya Ru-Baru,
Ye Sukoot-E-Marg Hai Kis Liye? Mei Jawab Doon Tu Sawal Kar,

Tu Bichhar Raha Hai To Soch Le, Tere Hath Hai Meri Zindgi,
Tujhe Rokna Meri Mot Hai, Meri Be`Bsi Ka Khayal Kar,

Mre Dard Ka, Mre Zabt Ka, Meri Be-Basi, Mere Sabr Ka,
Jo Yakeen Na Aaye To Dekh Le, Tu Hawa Mein Phool Uchaal Kr

Teri talaash mein mera Wajood hi na raha

Teri talaash mein mera Wajood hi na raha
Tabah kar gayi meri hasti ko arzoo terii

Monday, July 3, 2006

Teri yaad or barf bari ka mosam Sulagta raha dil k andar akelay,

Teri yaad or barf bari ka mosam Sulagta raha dil k andar akelay,
Socha tha g lon ga tuj se bichar kar, Guzarta nahi ik December akelay,

Pyar Humko Bepanah Kar Gaye

Pyar Humko Bepanah Kar Gaye
Phir Zindagi Mai Humko Tanha Kar Gaye
Chahat Thi Un K Ishq Mai Fana Hone Ki
Magar Wo Laut K Aane Ko Mana Kar Gaye

Main Faqat Khwab Tha Uska

Main Faqat Khwab Tha Uska
Khwab Ko Kon Yaad Rakhta Hai...

Tu ne kaha tha na ke mein kashti pr bhoj hoon,

Tu ne kaha tha na ke mein kashti pr bhoj hoon,
Aankhon ko ab na dhaamp mujhe doobta bhi dekh..

Sunday, July 2, 2006

Go zara si baat per baarson k yaranay gaye

Go zara si baat per baarson k yaranay gaye
Lekin itna to hua k kuch log pehchanaya gaye

Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay

Mumkin Ho Aap Se Tuo Bhula Dijiyey Mujhay
Pathar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiyey Mujhay

Hur Rooz Mujh Se Taaza Shikayat Hai Aap Ko
Main Kia Hoon, Aik Baar Bata Dijiyey Mujhay

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiyey Mujhay

Main Kia Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhay Kuch Khabar Nahin
Hain Aap Kitni Duur Zara Sada Dijiyey Mujhay

Ki Main Ne Apne Zakham Ki Tash?heer Ja Baja
Hum Mantey Hein Jurm, Saza Dijiyey Mujhay

Qaim Tou Ho Sakey Koi Rishta Ap Key Saath
Gehre Samandaroon Main Baha Dijiyey Mujhay

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasney Se Faida
Hai Tairgi Tou Aag Laga Dijiyey Mujhay

Jaltey Dinoon Main Khud Pas Deewar Baith Kar
Saaye Ki Justuju Main Laga Dijiyey Mujhay

Youn Tou Shoola-E-Jaan Sard Ho Chuka
Laikin Sulag Uthoon Tou Hawa Dijiyey Mujhay

Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai

Aab Intazar Ek Aadat Si Hogai Hai
Khamoshi Se Ek Caahat Si Hogai Hai
Na Shikwa Na Shikayat Karne Ki Zarurat Hai
Kyuki Is Tanhai Se Abb Mohbbat Si Hogai Hai

Muhabbat tum ne danista ganwaai thi.

Muhabbat tum ne danista ganwaai thi. . !
Tou behtar hai k ab us ko bhula daalo
K ab pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Ye tum ko baarha hum ne kaha bhi tha
Suno jana’n!
Gulabo’n se ye lamhay hain
Inhein khonay se pehlay hi sambhal jao
Khiza’n se dosti karna nahi acha
Magar tum ko tou zid si thi mitanay ki, jalanay ki, ganwanay ki
Jo tum ne aag bharkai thi haatho’n se
Tumharay apny daaman tak bhi aa pohnchi tou rotay ho?
Suno! pachtanay se bhi kuch nahi hoga
Muhabbat tum ne danista ganwaai thi.
To behtar hai k ab usko bhula daalo. . !

Abhi TuM Ishq Mat Karna

Abhi TuM Ishq Mat Karna,
Abhi Gudiya Se Khelo TuM,
TuMhari UMar Hi Kya Hai,
Faqat Satrah Baras Ki Ho,
Abhi MasooM Bachi Hai,
Nahi MaluM Abhi TuMko,
Ke Jab Ye Ishq Hota Hai,
To Insaan Kitna Rota Hai,
Sitaare Toot Jaate Hai,
Saharae Chhut Jaate Hai,
Abhi TuMne Nahi Dekha,
Ke Jab Sathi Bichadte Hai
To Kitna Dard Milta Hai,
Ke Har Farqat Ke MausaM Mein
Hazaron GuM Ubharte Hai,
Hazaron ZakhM Khulte Hai,
Suno Ladki…
Meri Mano
Padhai Par Tawajo Do,
Kitabon Mein Gulabon Ko
Kabhi Bhoole Se Mat Rakhna,
Kitabein Jab Bhi Khologi,
Ye Kaanto Ki Tarah Dil Mein
Chubhenge Khun Bahenge,
TuMhe Pehron Satayenge,
Kisiko Khat Nai Likhna,
Likhayi Pakdi Jaati Hai,
Badi Ruswai Hoti Hai,
Kisiko Phone Mat Karna,
Sadayein Dil Dukhati Hai,
Wo Awazein Satati Hai,
Meri NazMein Nahi Padhna,
Ye Mehshar Utha Dengi,
TuMhe Pagal Bana Dengi,
Suno Ladki…
Meri Mano
Apni Takdeer Se TuM
Khulke Mat Ladna
Abhi Gudia Se Khelo TuM,
Abhi TuM Ishq Mat Karna…

Saturday, July 1, 2006

Har Bar Ki Tarah Is Bar B Id Tujh Pe Qurban Kar Jaon Ga

Har Bar Ki Tarah Is Bar B Id Tujh Pe Qurban Kar Jaon Ga .
Main Ye Eid Bhi Teri Rakhwali Main Guzaron Gaa.
Hathon Main Raifal Seeney Pe Golian Sajaun Ga..
Ay Watan Main Ye Id B Teri Sarhadon Pe Manaun Gaa..
Apni Khushiyan Gham Apne Tere Sath Hi Manaun Ga..
Ay Watan Katt Jae Sar Tan Se Per Teri Qassam Tujhe Bachaun Gaa.
Main Ye Eid Bhi Teri Sarhadon Pe Manaun Ga…

yeh subaz halali percham

yeh subaz halali percham,
yehi mere pehchan mere ha shan,

Qaid ki koshishoon ka inam,
yeh mera payara Pakistan,

mere yeh shan mere pehchan,
Yeh mera payara Pakistan

Mujhe Kehta Hai Jhooti Hain Teri Beykar Se Baatein Faraz,

Mujhe Kehta Hai Jhooti Hain Teri Beykar Se Baatein Faraz,
Magar Lagta Hai Wo Meri Unhi Baaton Pe Marta Hai?.

Jo kabi tu parhny bethe... mujhe harf harf soochy

Jo kabi tu parhny bethe... mujhe harf harf soochy
Teri ankhain bheeg jaaain... tu kitaab bhool jaye..